goTe ki chunari
dekh buā mirī goTe kī chunarī
aa hā jī gul-nārī chunarī
rang rañgīlī pyārī chunarī
malmal kī ik taarī chunarī
nāzuk nāzuk saarī chunarī
dekh buā mirī goTe kī chunarī
ammī ke kuchh jī meñ aayā
goTe kā ik thaan mañgāyā
chunarī par saarā chipkāyā
har kone par phuul banāyā
dekh buā mirī goTe kī chunarī
lachkā hai hāthoñ meñ lachaktā
goTā hai kundan sā damaktā
raushnī meñ kaisā hai chamaktā
haath lagāne se hai masaktā
dekh buā mirī goTe kī chunarī
is ko ḳharāb hone na dūñgī
baiThūñgī to sañbhāl rakhūñgī
ghar meñ jā kar rakh chhoḌūñgī
aur tehvār ke din oḌhūñgī
dekh buā mirī goTe kī chunarī
dekh bua meri goTe ki chunari
aa ha ji gul-nari chunari
rang rangili pyari chunari
malmal ki ek tari chunari
nazuk nazuk sari chunari
dekh bua meri goTe ki chunari
ammi ke kuchh ji mein aaya
goTe ka ek than mangaya
chunari par sara chipkaya
har kone par phul banaya
dekh bua meri goTe ki chunari
lachka hai hathon mein lachakta
goTa hai kundan sa damakta
raushni mein kaisa hai chamakta
hath lagane se hai masakta
dekh bua meri goTe ki chunari
is ko KHarab hone na dungi
baiThungi to sanbhaal rakhungi
ghar mein ja kar rakh chhoDungi
aur tehwar ke din oDhungi
dekh bua meri goTe ki chunari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.