guDDu
phuul sā nāzuk bel sā komal
nanhā munnā guDDū apnā
duniyā ke chehre kī raunaq
fitrat kī āñkhoñ kā sapnā
sūrat us kī bholī-bhālī
gaal haiñ us ke gore gore
jism hai yā phūloñ kī Daalī
baal haiñ yā resham kī Dore
us kī duniyā pyaar kī duniyā
us kī bāteñ pyaar kī bāteñ
bachpan ke haiñ samay suhāne
hañste din aur hañstī rāteñ
kaash us kī shaffāf jabīñ par
rañj-o-alam kī gard na chhā.e
kaash ye duniyā zālim duniyā
is par koī zulm na Dhaa.e
mere bas kī baat agar ho
maiñ na javāñ hone duuñ is ko
yūñhī ḳhushiyoñ ke jhūle meñ
hañstā gaatā dekhūñ is ko
phul sa nazuk bel sa komal
nanha munna guDDu apna
duniya ke chehre ki raunaq
fitrat ki aankhon ka sapna
surat us ki bholi-bhaali
gal hain us ke gore gore
jism hai ya phulon ki Dali
baal hain ya resham ki Dore
us ki duniya pyar ki duniya
us ki baaten pyar ki baaten
bachpan ke hain samay suhane
hanste din aur hansti raaten
kash us ki shaffaf jabin par
ranj-o-alam ki gard na chhae
kash ye duniya zalim duniya
is par koi zulm na Dhae
mere bas ki baat agar ho
main na jawan hone dun is ko
yunhi KHushiyon ke jhule mein
hansta gata dekhun is ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.