guDiya ek bana do
achchhī ammī pyārī ammī guḌiyā ek banā do
nannhī munnī pyārī ammī guḌiyā ek banā do
gorā gorā mukhḌā ho aur kaalī kaalī āñkheñ
lambe lambe baal sunahrī mar mar jaisī bāheñ
sakhiyāñ dekheñ dekh ke bhartī rah jaa.eñ bas aaheñ
achchhī ammī pyārī ammī guḌiyā ek banā do
nannhī munnī pyārī pyārī guḌiyā ek banā do
niile rañg kī pahnī ho nāzuk sī us ne saaḌī
hāthoñ meñ hoñ gajre us ke kānoñ meñ ho baalī
chaal chale vo moroñ jaisī Thumak Thumak matvālī
achchhī ammī pyārī ammī guḌiyā ek banā do
nannhī munnī pyārī ammī guḌiyā ek banā do
aisī guḌiyā ek banā do jo bole jo gaa.e
baajā le kar chham-chham chham-chham mujh ko naach dikhā.e
naach dikhā kar mere man ko roz yūñhī bahlā.e
achchhī ammī pyārī ammī guḌiyā ek banā do
nannhī munnī pyārī pyārī guḌiyā ek banā do
naaz uThā.ūñgī maiñ us ke dekhūñgī maiñ naḳhre
ḳhuub karūñgī minnat us kī rūThegī jab mujh se
aur pakā kar dūñgī us ko mīThe mīThe khāne
achchhī ammī pyārī ammī guḌiyā ek banā do
nannhī munnī pyārī ammī guḌiyā ek banā do
ab na kabhī aapā se maiñ jhagḌūñgī pyārī ammī
ab na kabhī maiñ munne ko pīTūñgī pyārī ammī
aap kā har ik kahnā maiñ mānūñgī pyārī ammī
nannhī munnī pyārī guḌiyā ek banā do
achchhī ammī pyārī ammī guḌiyā ek banā do
achchhi ammi pyari ammi guDiya ek bana do
nannhi munni pyari ammi guDiya ek bana do
gora gora mukhDa ho aur kali kali aankhen
lambe lambe baal sunahri mar mar jaisi bahen
sakhiyan dekhen dekh ke bharti rah jaen bas aahen
achchhi ammi pyari ammi guDiya ek bana do
nannhi munni pyari pyari guDiya ek bana do
nile rang ki pahni ho nazuk si us ne saDi
hathon mein hon gajre us ke kanon mein ho baali
chaal chale wo moron jaisi Thumak Thumak matwali
achchhi ammi pyari ammi guDiya ek bana do
nannhi munni pyari ammi guDiya ek bana do
aisi guDiya ek bana do jo bole jo gae
baja le kar chham-chham chham-chham mujh ko nach dikhae
nach dikha kar mere man ko roz yunhi bahlae
achchhi ammi pyari ammi guDiya ek bana do
nannhi munni pyari pyari guDiya ek bana do
naz uThaungi main us ke dekhungi main naKHre
KHub karungi minnat us ki ruThegi jab mujh se
aur paka kar dungi us ko miThe miThe khane
achchhi ammi pyari ammi guDiya ek bana do
nannhi munni pyari ammi guDiya ek bana do
ab na kabhi aapa se main jhagDungi pyari ammi
ab na kabhi main munne ko piTungi pyari ammi
aap ka har ek kahna main manungi pyari ammi
nannhi munni pyari guDiya ek bana do
achchhi ammi pyari ammi guDiya ek bana do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.