guDiya
khilaunā to nahīñ huuñ maiñ
nā miTTī kā koī but huuñ
ki jab tum haath ko moḌo nahīñ hogī mujhe taklīf
ki jab tum aañkh ko phoḌo to chīḳheñ bhī na nikleñgī
binā soche
binā dekhe mirī shādī kisī guDDe se kar doge
mire sar meñ kisī bhī naam kā sindūr bhar doge
mujhe mujh se binā pūchhe mujhī se duur kar doge
suno ye jaan lo tum bhī
suno ye jaan lo tum bhī
muravvat chhoḌ dī maiñ ne
jise guḌiyā samajhte the
vo guḌiyā toḌ dī maiñ ne
khilauna to nahin hun main
na miTTi ka koi but hun
ki jab tum hath ko moDo nahin hogi mujhe taklif
ki jab tum aankh ko phoDo to chiKHen bhi na niklengi
bina soche
bina dekhe meri shadi kisi guDDe se kar doge
mere sar mein kisi bhi nam ka sindur bhar doge
mujhe mujh se bina puchhe mujhi se dur kar doge
suno ye jaan lo tum bhi
suno ye jaan lo tum bhi
murawwat chhoD di main ne
jise guDiya samajhte the
wo guDiya toD di main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.