guDiya ki shadi
munnī bolī pyārī aashā
kitnī bholī merī guḌiyā
achchhā hai terā bhī guDDā
ho jaa.e donoñ kā rishta
aashā bolī gunjā.ish hai
lekin merī farmā.ish hai
hāthī lūñgī ghoḌe lūñgī
maiñ kapḌe sau joḌe lūñgī
T.V cōlar aur ik motor
sone aur chāñdī ke zevar
dene hoñge moTe paise
milte haiñ seThoñ ko jaise
mehmānoñ kī ḳhātir achchhī
maano jab ye baat hai pakkī
munnī kā to jī ghabrāyā
aañsū Tapke sar chakrāyā
phir vo bolī jaao jaao
Dūbegī kāġhaz kī naav
lālach kā phal jis ne khāyā
royā āḳhir vo pachhtāyā
aashā bolī tum ho pāgal
nāhaq hī hotī ho be-kal
bāteñ haiñ ye bahkī bahkī
mere dil meñ lālach chhī-chhī
maiñ ne tum ko yūñhī chheḌā
kyuuñ Duube ulfat kā beḌā
terī guḌiyā merī guḌiyā
merā guDDā terā guDDā
paise kī kaisī barbādī
shādī hogī sīdhī-sādī
laao jaldī sharbat laao
jaao uchhlo nācho gaao
munni boli pyari aasha
kitni bholi meri guDiya
achchha hai tera bhi guDDa
ho jae donon ka rishta
aasha boli gunjaish hai
lekin meri farmaish hai
hathi lungi ghoDe lungi
main kapDe sau joDe lungi
TV coolar aur ek motor
sone aur chandi ke zewar
dene honge moTe paise
milte hain seThon ko jaise
mehmanon ki KHatir achchhi
mano jab ye baat hai pakki
munni ka to ji ghabraya
aansu Tapke sar chakraya
phir wo boli jao jao
Dubegi kaghaz ki naw
lalach ka phal jis ne khaya
roya aaKHir wo pachhtaya
aasha boli tum ho pagal
nahaq hi hoti ho be-kal
baaten hain ye bahki bahki
mere dil mein lalach chhi-chhi
main ne tum ko yunhi chheDa
kyun Dube ulfat ka beDa
teri guDiya meri guDiya
mera guDDa tera guDDa
paise ki kaisi barbaadi
shadi hogi sidhi-sadi
lao jaldi sharbat lao
jao uchhlo nacho gao
- Book : Bachchon Ka Bagh (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.