guDiya ki shadi
sunday ke din ham sab kheleñ
lutf zarā chhuTTī kā le leñ
Dolī laao ghoḌā laao
guDDā laao guḌiyā laao
in donoñ kī kar deñ shādī
aa jaa.eñ bārātī haadī
kuchh dāvat-nāme chhapvā lo
kuchh mehmānoñ ko bulvā lo
guDDe kā sahrā le aao
guḌiye kā gajrā le aao
guDDe kā saafa bhī laanā
guḌiye kā lahñgā bhī laanā
haldī paisegī nazrāna
mehñdī pīsegī farzāna
saarā ghar āñgan sajvā do
dar par shahnā.ī bajvā do
kachchī biryānī pakvā lo
shāhī TukḌe bhī banvā lo
sharbat aur kaafī bhī rakhnā
misrī aur taffy bhī rakhnā
guDDā guḌiyā jab haiñ raazī
najmī ban jā.egā qaazī
dhūm-dhām se hogī shādī
yaad karegī kyā shahzādī
hindostānī saaz bajeñgge
giit 'farāġh' uncle likh deñge
sunday ke din hum sab khelen
lutf zara chhuTTi ka le len
Doli lao ghoDa lao
guDDa lao guDiya lao
in donon ki kar den shadi
aa jaen baraati hadi
kuchh dawat-name chhapwa lo
kuchh mehmanon ko bulwa lo
guDDe ka sahra le aao
guDiye ka gajra le aao
guDDe ka safa bhi lana
guDiye ka lahnga bhi lana
haldi paisegi nazrana
mehndi pisegi farzana
sara ghar aangan sajwa do
dar par shahnai bajwa do
kachchi biryani pakwa lo
shahi TukDe bhi banwa lo
sharbat aur kafi bhi rakhna
misri aur taffy bhi rakhna
guDDa guDiya jab hain raazi
najmi ban jaega qazi
dhum-dham se hogi shadi
yaad karegi kya shahzadi
hindostani saz bajengge
git 'faragh' uncle likh denge
- Book : Hum Bachche Hain Padhne Wale (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.