guftani-o-na-guftani
har roz kar rahe haiñ sharārat na.ī na.ī
vo log jin se sharm-e-rasūl-e-ḳhudā ga.ī
jin ke zamīr-o-zarf pe taḳhlīq sharmsār
jin ke dil-o-dimāġh kā sāñcha hai surma.ī
kyā pūchhte ho ummat-e-ahmad-razā kā haal
andar se dāġh-dār to bāhar se champa.ī
rīsh-e-darāz zulf-e-chalīpā se faizyāb
us lo’bat-e-farañg ke shauhar ka.ī ka.ī
maslak meñ un ke honorary muḳhbirī halāl
maz.hab hai is zalīl gharauñde kā nuqra.ī
māthe pe farsh-e-bos-e-rivāyāt kā ġhubār
chehra ba-faiz-e-halqa-e-ushshāq agra.ī
ham aise kushtagān-e-vafā ke ḳhilāf haiñ
'asrār' ḳhāndān-e-kalā.ū ke mujra.ī
har roz kar rahe hain shararat nai nai
wo log jin se sharm-e-rasul-e-KHuda gai
jin ke zamir-o-zarf pe taKHliq sharmsar
jin ke dil-o-dimagh ka sancha hai surmai
kya puchhte ho ummat-e-ahmad-raza ka haal
andar se dagh-dar to bahar se champai
rish-e-daraaz zulf-e-chalipa se faizyab
us lo’bat-e-farang ke shauhar kai kai
maslak mein un ke honorary muKHbiri halal
mazhab hai is zalil gharaunde ka nuqrai
mathe pe farsh-e-bos-e-riwayat ka ghubar
chehra ba-faiz-e-halqa-e-ushshaq agrai
hum aise kushtagan-e-wafa ke KHilaf hain
'asrar' KHandan-e-kalau ke mujrai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.