guftugu (Hind Pak dosti ke nam)
Interesting Fact
Ali Sardar Jafri was invited to join the Atal Bihari Vajpey's delegation to Lahore but had to decline on account of ill health. Jafri sent a set of 10 cassettes of Sarhad to Vajpayee to be gifted to poets and writers of Pakistan as a message of love and friendship. This nazm was part of the audio collection.
guftugū band na ho
baat se baat chale
sub.h tak shÄm-e-mulÄqÄt chale
ham pe hañstÄ« huÄ« ye tÄroñ bharÄ« raat chale
hoñ jo alfÄz ke hÄthoñ meñ haiñ sañg-e-dushnÄm
tanz chhalkÄ.e to chhalkÄyÄ kare zahr ke jaam
tÄ«khÄ« nazreñ hoñ tursh abrÅ«-e-áž³hamdÄr raheñ
ban paáže jaise bhÄ« dil sÄ«noñ meñ bedÄr raheñ
bebasÄ« harf ko zanjÄ«r-ba-pÄ kar na sake
koÄ« qÄtil ho magar qatl-e-navÄ kar na sake
sub.h tak Dhal ke koÄ« harf-e-vafÄ aa.egÄ
ishq aa.egÄ ba-sad laÄ¡hzish-e-pÄ aa.egÄ
nazreñ jhuk jÄ.eñgÄ« dil dhaážke.eñge lab kÄñpeñge
áž³hÄmushÄ« bosa-e-lab ban ke mahak jÄ.egÄ«
sirf Ä¡hunchoñ ke chaTakne kÄ« sadÄ aa.egÄ«
aur phir harf-o-navÄ kÄ« na zarÅ«rat hogÄ«
chashm o abrÅ« ke ishÄroñ meñ mohabbat hogÄ«
nafrat uTh jÄ.egÄ« mehmÄn muravvat hogÄ«
haath meñ haath liye saarÄ jahÄñ saath liye
tohfa-e-dard liye pyaar kÄ« sauÄ¡hÄt liye
regzÄroñ se adÄvat ke guzar jÄ.eñge
áž³huuñ ke dariyÄoñ se ham paar utar jÄ.eñge
guftugū band na ho
baat se baat chale
sub.h tak shÄm-e-mulÄqÄt chale
ham pe hañstÄ« huÄ« ye tÄroñ bharÄ« raat chale
guftugu band na ho
baat se baat chale
subh tak sham-e-mulaqat chale
hum pe hansti hui ye taron bhari raat chale
hon jo alfaz ke hathon mein hain sang-e-dushnam
tanz chhalkae to chhalkaya kare zahr ke jam
tikhi nazren hon tursh abru-e-KHamdar rahen
ban paDe jaise bhi dil sinon mein bedar rahen
bebasi harf ko zanjir-ba-pa kar na sake
koi qatil ho magar qatl-e-nawa kar na sake
subh tak Dhal ke koi harf-e-wafa aaega
ishq aaega ba-sad laghzish-e-pa aaega
nazren jhuk jaengi dil dhaDkeenge lab kanpenge
KHamushi bosa-e-lab ban ke mahak jaegi
sirf ghunchon ke chaTakne ki sada aaegi
aur phir harf-o-nawa ki na zarurat hogi
chashm o abru ke ishaaron mein mohabbat hogi
nafrat uTh jaegi mehman murawwat hogi
hath mein hath liye sara jahan sath liye
tohfa-e-dard liye pyar ki saughat liye
regzaron se adawat ke guzar jaenge
KHun ke dariyaon se hum par utar jaenge
guftugu band na ho
baat se baat chale
subh tak sham-e-mulaqat chale
hum pe hansti hui ye taron bhari raat chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.