guftugu
kal ik buzurgvār se kuchh bahs ho ga.ī
kyā guftugū huī ye zarā sun leñ aap bhī
maiñ ne kahā janāb se mahñgā.ī hai bahut
bole tumhārī āmad-e-bālā.ī hai bahut
maiñ bolā petrol kī qīmat pe kuchh kaho
kahne lage ki mahñgā hai paidal chalā karo
maiñ ne kahā ki pyaaz kā lahsan kā kyā kareñ
kahne lage baghār meñ ziira liyā kareñ
maiñ ne kahā ki garmī meñ bijlī kā kyā kareñ
kahne lage ki haath se pankhā jhalā kareñ
maiñ ne kahā train meñ hai bhiiḌ kis qadar
bole ki kyoñ bhaTakte ho har roz idhar-udhar
maiñ ne kahā ki kursī ke aate haiñ mujh ko ḳhvāb
bole ki roz āyat-e-kursī paḌho janāb
maiñ ne kahā ki paanī kī qillat bhī hai janāb
kahne lage ki paanī ke badle piyo sharāb
maiñ ne kahā ki shā.erī mujh ko sikhā.iye
bole mushā.eron meñ mire sher gā.iye
maiñ ne kahā mushā.era lūTeñgī shā.erāt
bole isī liye to huī shā.iroñ ko maat
maiñ bolā sher maiñ bhī sunātā huuñ lā-javāb
bole ki hai tumhārā tarannum bahut ḳharāb
maiñ ne kahā na kaam hai ne koī kārobār
kahne lage ki sher kaho roz be-shumār
maiñ ne kahā ki dhuup meñ garmī meñ kyā kareñ
bole ki ghar meñ biivī kī sūrat takā kareñ
kal ek buzurgwar se kuchh bahs ho gai
kya guftugu hui ye zara sun len aap bhi
main ne kaha janab se mahngai hai bahut
bole tumhaari aamad-e-baalai hai bahut
main bola petrol ki qimat pe kuchh kaho
kahne lage ki mahnga hai paidal chala karo
main ne kaha ki pyaz ka lahsan ka kya karen
kahne lage baghaar mein zira liya karen
main ne kaha ki garmi mein bijli ka kya karen
kahne lage ki hath se pankha jhala karen
main ne kaha train mein hai bhiD kis qadar
bole ki kyon bhaTakte ho har roz idhar-udhar
main ne kaha ki kursi ke aate hain mujh ko KHwab
bole ki roz aayat-e-kursi paDho janab
main ne kaha ki pani ki qillat bhi hai janab
kahne lage ki pani ke badle piyo sharab
main ne kaha ki shaeri mujh ko sikhaiye
bole mushaeron mein mere sher gaiye
main ne kaha mushaera luTengi shaeraat
bole isi liye to hui shairon ko mat
main bola sher main bhi sunata hun la-jawab
bole ki hai tumhaara tarannum bahut KHarab
main ne kaha na kaam hai ne koi karobar
kahne lage ki sher kaho roz be-shumar
main ne kaha ki dhup mein garmi mein kya karen
bole ki ghar mein biwi ki surat taka karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.