gul ba-nok-e-Khaar
mirī zulfeñ nahīñ kaalī ghaTā haiñ
mirī peshānī hai mahtāb jaisī
mirī āñkheñ kañval kī pañkhuḌī haiñ
mire lab haiñ gulāboñ se mushābah
mire gāloñ meñ hai laalī shafaq kī
mirī gardan surāhī-dār dekho
mirī bāheñ haiñ misl-e-shāḳh-e-sandal
badan merā hai lāla-zār dekho
adāoñ meñ mirī jādūgarī hai
mirī hastī mukammal shā.irī hai
havas ke maaro meñ bāzār meñ huuñ
gul-e-tar huuñ pa nok-e-ḳhār meñ huuñ
mire husn-o-javānī ke munāsib
lagāv daam aur mujh ko ḳharīdo
ki har sūrat adā karnā hai mujh ko
kisī biivī kī lāchārī kā qarza
kisī shauhar kī bīmārī kā qarza
meri zulfen nahin kali ghaTa hain
meri peshani hai mahtab jaisi
meri aankhen kanwal ki pankhuDi hain
mere lab hain gulabon se mushabah
mere galon mein hai lali shafaq ki
meri gardan surahi-dar dekho
meri bahen hain misl-e-shaKH-e-sandal
badan mera hai lala-zar dekho
adaon mein meri jadugari hai
meri hasti mukammal shairi hai
hawas ke maro mein bazar mein hun
gul-e-tar hun pa nok-e-KHar mein hun
mere husn-o-jawani ke munasib
lagaw dam aur mujh ko KHarido
ki har surat ada karna hai mujh ko
kisi biwi ki lachaari ka qarza
kisi shauhar ki bimari ka qarza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.