gul-chandni
kal shaam yaad aayā mujhe!
aise ki jaise ḳhvāb thā
kone meñ āñgan ke mire
gul-chāñdnī kā piiḌā thā
maiñ saarī saarī dopahar
saa.e meñ us ke kheltī
phūloñ ko chhū kar bhāgtī
shāḳhoñ se mil kar jhūltī
is ke tane meñ bīsiyoñ!
lohe ki kīleñ thiiñ jaḌī
kīloñ ko mat chhūnā kabhī
tākīd thī mujh ko yahī!
ye raaz mujh pe faash thā
is peḌ par aaseb thaa!
ik mard-e-kāmil ne magar
aisā amal us par kiyā
bāhar vo aa saktā nahīñ!!
kīloñ meñ us ko jaḌ diyā
haañ koī kīloñ ko agar
khīñgā uupar kī taraf!
aaseb bhī chhuT jā.egā
phūloñ ko bhī khā jā.egā
pattoñ pe bhī mañDlāyegā
phir dekhte hī dekhte
ye ghar kā ghar jal jā.egā
is sahn-e-jism-o-jāñ meñ bhī
gul chāñdnī kā peḌ hai!
sab phuul mere saath haiñ
patte mire hamrāz haiñ
is peḌ kā saaya mujhe!
ab bhī bahut mahbūb hai
is ke tane meñ aaj tak
aaseb vo mahsūr hai
ye sochtī huuñ aaj bhii!
kīloñ ko gar chheḌā kabhī
aaseb bhī chhuT jā.egā
pattoñ se kiyā lenā use
phūloñ se kiyā matlab use
bas ghar mirā jal jā.egā
kyā ghar mirā jal jā.egā?
kal sham yaad aaya mujhe!
aise ki jaise KHwab tha
kone mein aangan ke mere
gul-chandni ka piDa tha
main sari sari dopahar
sae mein us ke khelti
phulon ko chhu kar bhagti
shaKHon se mil kar jhulti
is ke tane mein bisiyon!
lohe ki kilen thin jaDi
kilon ko mat chhuna kabhi
takid thi mujh ko yahi!
ye raaz mujh pe fash tha
is peD par aaseb tha!
ek mard-e-kaamil ne magar
aisa amal us par kiya
bahar wo aa sakta nahin!!
kilon mein us ko jaD diya
han koi kilon ko agar
khinga upar ki taraf!
aaseb bhi chhuT jaega
phulon ko bhi kha jaega
patton pe bhi manDlayega
phir dekhte hi dekhte
ye ghar ka ghar jal jaega
is sahn-e-jism-o-jaan mein bhi
gul chandni ka peD hai!
sab phul mere sath hain
patte mere hamraaz hain
is peD ka saya mujhe!
ab bhi bahut mahbub hai
is ke tane mein aaj tak
aaseb wo mahsur hai
ye sochti hun aaj bhi!
kilon ko gar chheDa kabhi
aaseb bhi chhuT jaega
patton se kiya lena use
phulon se kiya matlab use
bas ghar mera jal jaega
kya ghar mera jal jaega?
- Book : Shaam Kaa Phahlaa Taaraa (Pg. 41)
- Author : Zehra Nigaah
- Publication : Shabbir Ahmed Bhattii (1980)
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.