gul
ai gul-e-rañgīñ-qabā ai ġhāza-e-rū-e-bahār
tū hai ḳhud apne jamāl-e-husn kā ā.īna-dār
haa.e vo tere tabassum kī adā vaqt-e-sahar
sub.h ke taare ne apnī jaan tak kar dī nisār
sharm ke maare gulābī hai idhar rū-e-shafaq
shabnam-āgīñ hai idhar peshānī-e-sub.h-e-bahār
yuuñ nigār-e-mahr tere sāmne aayā to kyā
laḌkhaḌātā sar jhukā.e zard rū sīmāb-vār
ḳhāmushī terī adā hai, sādgī fitrat meñ hai
phir bhī jo terā harīf-e-husn hai, hairat meñ hai
ai gul-e-nāzuk-adā, ai ḳhanda-e-sub.h-e-chaman
chūmtī hai tere hoñToñ ko nasīm-e-mushk-e-tan
gher leñ jaise urūs-e-nau ko ham-sin laḌkiyāñ
yuuñ tujhe ghere hue haiñ nau-nihālān-e-chaman
vādiyoñ meñ tuu, bayābānoñ meñ tuu, bastī meñ tū
raunaq-e-har-mahfil o zīnat-dah-e-har-anjuman
ye adā-e-sādgī, mahbūbiyat, ma.asūmiyat
tū rah-e-hastī meñ kis andāz se hai gāmzan
josh-e-sarmastī meñ vo mauj-e-sabā kī chheḌ-chhāḌ
vo tire aariz pe ik halke tabassum kī shikan
tū zamīn-e-rañg-o-bū, tū āsmān-e-rañg-o-bū
muḳhtasar ye hai ki tū hai ik jahān-e-rañg-o-bū
ai gul-e-rangin-qaba ai ghaza-e-ru-e-bahaar
tu hai KHud apne jamal-e-husn ka aaina-dar
hae wo tere tabassum ki ada waqt-e-sahar
subh ke tare ne apni jaan tak kar di nisar
sharm ke mare gulabi hai idhar ru-e-shafaq
shabnam-agin hai idhar peshani-e-subh-e-bahaar
yun nigar-e-mahr tere samne aaya to kya
laDkhaData sar jhukae zard ru simab-war
KHamushi teri ada hai, sadgi fitrat mein hai
phir bhi jo tera harif-e-husn hai, hairat mein hai
ai gul-e-nazuk-ada, ai KHanda-e-subh-e-chaman
chumti hai tere honTon ko nasim-e-mushk-e-tan
gher len jaise urus-e-nau ko ham-sin laDkiyan
yun tujhe ghere hue hain nau-nihaalan-e-chaman
wadiyon mein tu, bayabanon mein tu, basti mein tu
raunaq-e-har-mahfil o zinat-dah-e-har-anjuman
ye ada-e-sadgi, mahbubiyat, masumiyat
tu rah-e-hasti mein kis andaz se hai gamzan
josh-e-sarmasti mein wo mauj-e-saba ki chheD-chhaD
wo tere aariz pe ek halke tabassum ki shikan
tu zamin-e-rang-o-bu, tu aasman-e-rang-o-bu
muKHtasar ye hai ki tu hai ek jahan-e-rang-o-bu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.