ajab samāñ hai
maiñ band āñkhoñ se tak rahī huuñ
ḳhumār-e-shab meñ gulāb-rut kī rafāqatoñ se mahak rahī huuñ
vo narm ḳhushbū kī tarah dil meñ utar rahā hai
meñ qurb-e-jāñ kī latāfatoñ se bahak rahī huuñ
ye chāhatoñ kī hasīn bārish kā mo.ajiza hai
ki mary poreñ sulag rahī haiñ
maiñ qatra qatra pighal rahī huuñ
maiñ rañg-o-ḳhushbū kā lams pā kar
vafā ke paikar meñ Dhal rahī huuñ
na maiñ zamīñ par
na āsmāñ meñ
vo aisā jaadū jagā rahā hai
gulābī bārish sunahre sapnoñ ke saare matlab vo dhīre dhīre sujhā rahā hai
mujhe vo mujh se churā rahā hai
ajab saman hai
main band aankhon se tak rahi hun
KHumar-e-shab mein gulab-rut ki rafaqaton se mahak rahi hun
wo narm KHushbu ki tarah dil mein utar raha hai
mein qurb-e-jaan ki latafaton se bahak rahi hun
ye chahaton ki hasin barish ka moajiza hai
ki mary poren sulag rahi hain
main qatra qatra pighal rahi hun
main rang-o-KHushbu ka lams pa kar
wafa ke paikar mein Dhal rahi hun
na main zamin par
na aasman mein
wo aisa jadu jaga raha hai
gulabi barish sunahre sapnon ke sare matlab wo dhire dhire sujha raha hai
mujhe wo mujh se chura raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.