gulābī shaam kī dastak
sunī tum ne
ajab saa.at meñ tum ne
dil meñ mere
yaad kā ik biij pheñkā thā
ki us se phūTne vaale
tumhāre aur mere darmiyāñ
kuchh hāmila lamhe
tumheñ mālūm kab hogā
ki vo takmīl kī dahlīz pe aate hue
kis zabt se guzre
baqā kī jang ko haare
vo sab lamhe
kahāñ kis dard se guzre
kisī ujḌī huī ab kokh kī mānind
bahut bechain rahte haiñ
agar mumkin ho to sunñā
kisī murda suroñ ko janm dete saaz kī aahaT
mujhe hai ilm ki kab vaqt hogā aisī bātoñ kā
magar phir bhī
nigah ik sarsarī karnā
tumheñ bas ye dikhānā hai
bahut bechain rakhtī hai
talab jab bain kartī hai
to paḌtī hai
gulābī shaam pe silvaT
gulabi sham ki dastak
suni tum ne
ajab saat mein tum ne
dil mein mere
yaad ka ek bij phenka tha
ki us se phuTne wale
tumhaare aur mere darmiyan
kuchh hamila lamhe
tumhein malum kab hoga
ki wo takmil ki dahliz pe aate hue
kis zabt se guzre
baqa ki jang ko haare
wo sab lamhe
kahan kis dard se guzre
kisi ujDi hui ab kokh ki manind
bahut bechain rahte hain
agar mumkin ho to sunna
kisi murda suron ko janm dete saz ki aahaT
mujhe hai ilm ki kab waqt hoga aisi baaton ka
magar phir bhi
nigah ek sarsari karna
tumhein bas ye dikhana hai
bahut bechain rakhti hai
talab jab bain karti hai
to paDti hai
gulabi sham pe silwaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.