ghulam gardish
ḳhushī
adam ke kisī jharoke
kī oT se jhāñktī nazar kā fareb koī
tavīl be-rahm rāstoñ par sarāb koī
tamām shab jugnuoñ ko chunñe kā ḳhvāb koī
ḳhushī
vo rah rah ke chand lamhoñ ko saañs letā habāb koī
udaas tāroñ ko chheḌtī uñgliyoñ ke zaḳhmoñ
se uThte sar ke ḳhayāl meñ gum rabāb koī
ḳhushī
ki mīzān ke jazīroñ se duur ik be-nishān sāhil
zamāne bhar kī ḳhalīj haa.il
ubhartī maujoñ meñ
ġharq hone kī dāstānoñ kī jhilmilāhaT
jo chhūnā chāho
to dastaras meñ
koī jazīra na koī sāhil
ye ḳhaak aur aab kā tavāzun
ye band muTThī se zarra zarra phisaltī miTTī
nazar meñ collage ik mujarrad
idhar gumāñ kī muñDer par kuchh nishān
anqā ke baiThne kā fareb jaise
tū us kināre tarāzū thāme
mujassame kī safed āñkhoñ pe ma.anaviyyat kī kaalī paTTī
vahī siyāhī
añdhere kā hai jo pesh-ḳhema
vo sang āñkheñ
ki jin meñ putlī kabhī nahīñ thī
vo jin kī tah meñ
kisī kiran kā guzar nahīñ hai
ḳhushī hai kyā munsifī hai kyā
kuchh ḳhabar nahīñ hai
KHushi
adam ke kisi jharoke
ki oT se jhankti nazar ka fareb koi
tawil be-rahm raston par sarab koi
tamam shab jugnuon ko chunne ka KHwab koi
KHushi
wo rah rah ke chand lamhon ko sans leta habab koi
udas taron ko chheDti ungliyon ke zaKHmon
se uThte sar ke KHayal mein gum rabab koi
KHushi
ki mizan ke jaziron se dur ek be-nishan sahil
zamane bhar ki KHalij hail
ubharti maujon mein
gharq hone ki dastanon ki jhilmilahaT
jo chhuna chaho
to dastaras mein
koi jazira na koi sahil
ye KHak aur aab ka tawazun
ye band muTThi se zarra zarra phisalti miTTi
nazar mein collage ek mujarrad
idhar guman ki munDer par kuchh nishan
anqa ke baiThne ka fareb jaise
tu us kinare taraazu thame
mujassame ki safed aankhon pe manawiyyat ki kali paTTi
wahi siyahi
andhere ka hai jo pesh-KHema
wo sang aankhen
ki jin mein putli kabhi nahin thi
wo jin ki tah mein
kisi kiran ka guzar nahin hai
KHushi hai kya munsifi hai kya
kuchh KHabar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.