gulshan-e-na-afrida
badan ke jharoke meñ jitnī nigāheñ lagī haiñ
mirī haiñ
koī aur kab sochtā hai
ki ġham-ḳhāna-e-'mīr' ke us taraf
ek hañstā mahaktā bāġhīchā bhī hai
kitnī an-chhūī kaliyāñ
javāñ titliyāñ
ras-bharī jhūmtī Dāliyāñ
soñdhī miTTī kī ham-jins ḳhushbū
labālab sī ik bāolī
jaane kyā kuchh
magar vo jharoka
ki jis kā mire dil se ik vāsta hai
abhī band hai
kaam nāzuk hai āfāq kī kār-gah kā
badan ke jharoke mein jitni nigahen lagi hain
meri hain
koi aur kab sochta hai
ki gham-KHana-e-'mir' ke us taraf
ek hansta mahakta baghicha bhi hai
kitni an-chhui kaliyan
jawan titliyan
ras-bhari jhumti Daliyan
sondhi miTTi ki ham-jins KHushbu
labaalab si ek baoli
jaane kya kuchh
magar wo jharoka
ki jis ka mere dil se ek wasta hai
abhi band hai
kaam nazuk hai aafaq ki kar-gah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.