vo ik lamha baḌā muqaddas thā
vo ik lamha ki jis meñ
āsmāñ sab āyatoñ kā vird karte the
sitāre haath meñ le kar
jahannam kī sulagtī aur dahaktī aag ke uupar
farishte apne apne pañkhoñ kī
būñdeñ jhaTakte the
ḳhudā ne ek lamhe ko nigāheñ muuñd kar apnī
tasallut kī girah ko Dhīlā chhoḌā thā
nizām-e-azal toḌā thā
vo ik lamha ki jis meñ
gardishoñ ke paar sayyāroñ ne pahlī baar
holiday manāyā thā
vo ik lamha ki jis meñ tum janm le rahe the
wo ek lamha baDa muqaddas tha
wo ek lamha ki jis mein
aasman sab aayaton ka wird karte the
sitare hath mein le kar
jahannam ki sulagti aur dahakti aag ke upar
farishte apne apne pankhon ki
bunden jhaTakte the
KHuda ne ek lamhe ko nigahen mund kar apni
tasallut ki girah ko Dhila chhoDa tha
nizam-e-azal toDa tha
wo ek lamha ki jis mein
gardishon ke par sayyaron ne pahli bar
holiday manaya tha
wo ek lamha ki jis mein tum janm le rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.