milo ik din kisī gum-nām sāhil par
vahāñ par ham-qadam ho kar
chaleñge duur tak yuuñ hī
ham apne bhīge pairoñ ke nishāñ ko
ret ke dāman se chun kar
manziloñ ke haath meñ de kar
koī va.ada kareñge
nayā sapnā buneñge
uThā kar koī armāñ
reg sāhil se
ham ik din
sīpiyoñ ke dil meñ rakh deñge
taaki abr-e-naisāñ
jab bhī barse
sīpiyāñ motī janeñ
parinde bhuul kar parvāz apnī
dard kī lahreñ gineñ
milo ik din kisī gumnām sāhil par
samundar ke kushāda-dil meñ sūraj Dūbtā hai jab
samay jis dam gale mil kar sindūrī shaam kartā hai
shafaq ke haath tezī se
ufuq meñ rang bharte haiñ
maujoñ ko kināroñ par sabā mahmez kartī hai
fazā gul-rez kartī hai
kahāñ tak rok sakte haiñ
ḳhvāboñ kī uḌānoñ ko
ye lahreñ dil meñ rakhtī haiñ
bahut sī dāstānoñ ko
milo ik din kisī gum-nām sāhil par
hamāre baḳht-e-ḳhvābīda ko
maujoñ kī koī karvaT jagā degī
mohabbat zindagī ko ḳhushbūoñ kā rāsta degī
ham apnī ok meñ le kar samundar se koī qatra
zamīn-e-dil ko nam kar ke
vahāñ par ḳhvāb bo.eñge
hamārī maḳhmalīñ ḳhvāhish
zarā sī bhiig jā.egī
to jiinā siikh jā.egī
milo ik din kisī gumnām sāhil par
nahīñ badlā ye dil ham ne
ka.ī mausam ḳharāb aa.e
samundar chāhtā ye hai
mohabbat zer-e-āb aa.e
chalo in kashtiyoñ ke bādbānoñ par
tumhārā naam likh kar ham
sunahre pāniyoñ ke haath meñ de deñ
ye kashtī DhūñD legī jab
mohabbat ke jazīre ko
to ham umr-e-ravāñ ik saath kāTeñge
tumhārā dard bāñTeñge
milo ik din kisī gumnām sāhil par
milo ek din kisi gum-nam sahil par
wahan par ham-qadam ho kar
chalenge dur tak yun hi
hum apne bhige pairon ke nishan ko
ret ke daman se chun kar
manzilon ke hath mein de kar
koi wada karenge
naya sapna bunenge
uTha kar koi arman
reg sahil se
hum ek din
sipiyon ke dil mein rakh denge
taki abr-e-naisan
jab bhi barse
sipiyan moti janen
parinde bhul kar parwaz apni
dard ki lahren ginen
milo ek din kisi gumnam sahil par
samundar ke kushada-dil mein suraj Dubta hai jab
samay jis dam gale mil kar sinduri sham karta hai
shafaq ke hath tezi se
ufuq mein rang bharte hain
maujon ko kinaron par saba mahmez karti hai
faza gul-rez karti hai
kahan tak rok sakte hain
KHwabon ki uDanon ko
ye lahren dil mein rakhti hain
bahut si dastanon ko
milo ek din kisi gum-nam sahil par
hamare baKHt-e-KHwabida ko
maujon ki koi karwaT jaga degi
mohabbat zindagi ko KHushbuon ka rasta degi
hum apni ok mein le kar samundar se koi qatra
zamin-e-dil ko nam kar ke
wahan par KHwab boenge
hamari maKHmalin KHwahish
zara si bhig jaegi
to jina sikh jaegi
milo ek din kisi gumnam sahil par
nahin badla ye dil hum ne
kai mausam KHarab aae
samundar chahta ye hai
mohabbat zer-e-ab aae
chalo in kashtiyon ke baadbanon par
tumhaara nam likh kar hum
sunahre paniyon ke hath mein de den
ye kashti DhunD legi jab
mohabbat ke jazire ko
to hum umr-e-rawan ek sath kaTenge
tumhaara dard banTenge
milo ek din kisi gumnam sahil par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.