gum-shuda aadmi ka intizar
lahū-nosh lamhoñ ke bedār saa.e
use gher leñge sināneñ uThā.e
tamāzat-zada shab zan-e-bākara sī
simaT jā.egī aur bhī apne tan meñ
vo sūraj kā sāthī añdheroñ ke ban meñ
asāsa liye fikr kā apne fan meñ
shuāoñ kī suulī pe zinda Tañgā hai
na ab shahr meñ koī itnā hazīñ hai
ġhazabnāk tanhā.iyoñ ko yaqīñ hai
ki us ke muqaddar meñ vo ḳhud nahīñ hai
vo ik infirādī haqīqat kā haamī
fasīloñ pe vahm-o-gumāñ kī khaḌā hai
shahr-zād shabnam se ye pūchhtā hai
ki sūraj ke siine meñ kyā kyā chhapā hai
magar shaam kī surḳh āñkhoñ ne is par
hamesha sulagtī huī raakh Daalī
tah-e-ātish-e-sruḳh-rū vo savālī
ki jis ne hathelī pe sarsoñ jamā lī
kisī devtā kī nigāh-e-ġhazab se
banā ajnabī apne ābād ghar meñ
kabhī is nagar meñ kabhī us nagar meñ
kabhī bas gayā sirf dīvār-o-dar meñ
vo ik shaḳhs tanhā ki jis kā abhī tak
safar hai musalsal na ghar mustaqil hai
faqat paas meñ us ke ma.asūm dil hai
magar kis qadar muztarib muzmahil hai
jo shahr-e-anā meñ khaḌā sochtā hai
kahāñ raat kaaTe kahāñ din bitā.e
hathelī pe duniyā kā naqsha banā.e
bhaTaktā hai vo aaj bhī choT khaa.e
are gum-shuda aadmī aa ke mil jā
are gum-shuda aadmī aa ke mil jā
lahu-nosh lamhon ke bedar sae
use gher lenge sinanen uThae
tamazat-zada shab zan-e-bakara si
simaT jaegi aur bhi apne tan mein
wo suraj ka sathi andheron ke ban mein
asasa liye fikr ka apne fan mein
shuaon ki suli pe zinda Tanga hai
na ab shahr mein koi itna hazin hai
ghazabnak tanhaiyon ko yaqin hai
ki us ke muqaddar mein wo KHud nahin hai
wo ek infiradi haqiqat ka hami
fasilon pe wahm-o-guman ki khaDa hai
shahr-zad shabnam se ye puchhta hai
ki suraj ke sine mein kya kya chhapa hai
magar sham ki surKH aankhon ne is par
hamesha sulagti hui rakh Dali
tah-e-atish-e-sruKH-ru wo sawali
ki jis ne hatheli pe sarson jama li
kisi dewta ki nigah-e-ghazab se
bana ajnabi apne aabaad ghar mein
kabhi is nagar mein kabhi us nagar mein
kabhi bas gaya sirf diwar-o-dar mein
wo ek shaKHs tanha ki jis ka abhi tak
safar hai musalsal na ghar mustaqil hai
faqat pas mein us ke masum dil hai
magar kis qadar muztarib muzmahil hai
jo shahr-e-ana mein khaDa sochta hai
kahan raat kaTe kahan din bitae
hatheli pe duniya ka naqsha banae
bhaTakta hai wo aaj bhi choT khae
are gum-shuda aadmi aa ke mil ja
are gum-shuda aadmi aa ke mil ja
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 675)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.