gum-shuda
maiñ is duniyā ke mele meñ
khilaunoñ ki dukānoñ par saje ek ik khilaune ko baḌī hasrat se taktā jā rahā huuñ
us ik bachche kī sūrat jis ko ye ma.alūm tak hotā nahīñ vo kho gayā hai
vo jin ke saath aayā thā vo us ko DhūñDte phirte haiñ
lekin vo to is mele meñ chaltā jā rahā hai
binā soche ki us ke chalte jaane kā bhalā anjām kyā hogā
binā jaane ki jab Dhal jā.egā din aur hogī shaam
kyā hogā
main is duniya ke mele mein
khilaunon ki dukanon par saje ek ek khilaune ko baDi hasrat se takta ja raha hun
us ek bachche ki surat jis ko ye malum tak hota nahin wo kho gaya hai
wo jin ke sath aaya tha wo us ko DhunDte phirte hain
lekin wo to is mele mein chalta ja raha hai
bina soche ki us ke chalte jaane ka bhala anjam kya hoga
bina jaane ki jab Dhal jaega din aur hogi sham
kya hoga
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 129)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.