khurdure jism ke nasheb-o-farāz
jānñe kī havas meñ jis kī zabāñ
aur sab zā.iqe bhulā baiThī
vo nihattā akelā raat ke vaqt
ek dil-doz chīḳh ke ham-rāh
jañgaloñ kī taraf gayā thā kabhī
aur phir lauT kar nahīñ aayā
ab vo shāyad kabhī na aa.egā
us ke saa.e kī donoñ āñhkeñ magar
maut se us kī be-ḳhabar haiñ abhī
is kī aamad kī muntazir haiñ abhī
khurdure jism ke nasheb-o-faraaz
jaanne ki hawas mein jis ki zaban
aur sab zaiqe bhula baiThi
wo nihatta akela raat ke waqt
ek dil-doz chiKH ke ham-rah
jangalon ki taraf gaya tha kabhi
aur phir lauT kar nahin aaya
ab wo shayad kabhi na aaega
us ke sae ki donon aanhken magar
maut se us ki be-KHabar hain abhi
is ki aamad ki muntazir hain abhi
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 244)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.