gum-shuda
chalo
phir ḳhud ko DhūñDeñ
zaat ke nazāre kī koshish kareñ
dekho
vo bhūrā dasht-e-imkāñ
duur tak phailā huā hai
sāmne hadd-e-nazar tak
gahrī tārīkī kī nāgan raqs-farmā hai
bikhartī ret par
koī bhī naqsh-e-pā nahīñ hai
chalo
phir KHud ko DhunDen
zat ke nazare ki koshish karen
dekho
wo bhura dasht-e-imkan
dur tak phaila hua hai
samne hadd-e-nazar tak
gahri tariki ki nagan raqs-farma hai
bikharti ret par
koi bhi naqsh-e-pa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.