guman
bas ek chhoTī sī bahs par hī chale ga.e ho
kināra kar ke
bahut se da.ave kiye the tum ne
maiñ pahle din se hī jāntā thā
tamām da.ave haiñ vaqtī jazboñ ke zer-e-sāya
kabhī kahā to nahīñ ye lekin
maiñ jāntā thā
tumheñ mohabbat nahīñ hai mujh se
faqat gumāñ hai
maiñ māntā huuñ ki pyaar aatā thā mujh pe tum ko
so pyaar aane ko pyaar honā samajh rahe the
magar jo aatā hai jaan merī
to us kā jaanā bhī tai hī samjho
bas ek chhoTī sī bahs par hī chale ga.e ho
bas ek chhoTi si bahs par hi chale gae ho
kinara kar ke
bahut se dawe kiye the tum ne
main pahle din se hi jaanta tha
tamam dawe hain waqti jazbon ke zer-e-saya
kabhi kaha to nahin ye lekin
main jaanta tha
tumhein mohabbat nahin hai mujh se
faqat guman hai
main manta hun ki pyar aata tha mujh pe tum ko
so pyar aane ko pyar hona samajh rahe the
magar jo aata hai jaan meri
to us ka jaana bhi tai hi samjho
bas ek chhoTi si bahs par hi chale gae ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.