bahut din hue
devtāoñ kī ik mahfil-e-rang-o-mastī meñ
jab sarmadī zamzama sā uThā
kaif meñ nīlgūñ sā piyāla
ki jis meñ mai-e-arġhavānī uñDelī ga.ī thī
kisī dast-e-qudrat se chhūTā
ulaT kar zamīñ par girā
aur
ye āsmāñ ban gayā
ek be-ant gumbad
ki jis meñ
ka.ī mehr-o-mirrīḳh-o-mahtāb Tāñke ga.e
kahkashā.eñ banā.ī ga.iiñ
phir usī kāsa-e-dahr se
bādaloñ kī namī
ḳhaak meñ bhī numū-gīr hone lagī
zindagī apne ḳhalyāt meñ kasmasāte hue
ḳhāk-zādoñ ke paikar meñ Dhalne lagī
is zamīñ ke jazīre pe
ye ḳhāk-zāde the
jo dekhte dekhte
shāh-zāde hue
chand hī roz meñ
kār-gāh-e-jahāñ
un kī Thokar meñ aane lagī
mo'tadil zindagī kū-e-ifrāt kī samt jaane lagī
ik tavāzun jo pahle thā
be-rabt hotā gayā
gāḌiyoñ enginoñ kār-ḳhānoñ kī ālūdgī se dahakte hue
garm sahrā meñ
kasrat kī ḳhvāhish kahāñ le chalī
kyā havas hai ki nādān qaabū meñ aatī nahīñ
dil qanā'at ke raste pe ruktā nahīñ
ek lashkar-kashī hai yahāñ
har taraf phailtā jā rahā hai dhuāñ
ab koī dam meñ bas
zahr-ālūd bādal barasne ko haiñ
is ḳharābe meñ
har samt ik bād-e-masmūm chalne ko hai
devtā apne mā'bad meñ mahsūr
mab.hūt haiñ
aur idhar
ibn-e-ādam kā aglā qadam
āsmāñ kī 'umūdī jihat toḌ dene ko tayyār hai
dekhnā ab ye hai
zindagī apne gumbad se niklī to āḳhir kahāñ jā.egī
is ġhubāre se bāhar
ye rah pā.egī
bahut din hue
dewtaon ki ek mahfil-e-rang-o-masti mein
jab sarmadi zamzama sa uTha
kaif mein nilgun sa piyala
ki jis mein mai-e-arghawani unDeli gai thi
kisi dast-e-qudrat se chhuTa
ulaT kar zamin par gira
aur
ye aasman ban gaya
ek be-ant gumbad
ki jis mein
kai mehr-o-mirriKH-o-mahtab Tanke gae
kahkashaen banai gain
phir usi kasa-e-dahr se
baadalon ki nami
KHak mein bhi numu-gir hone lagi
zindagi apne KHalyat mein kasmasate hue
KHak-zadon ke paikar mein Dhalne lagi
is zamin ke jazire pe
ye KHak-zade the
jo dekhte dekhte
shah-zade hue
chand hi roz mein
kar-gah-e-jahan
un ki Thokar mein aane lagi
mo'tadil zindagi ku-e-ifraat ki samt jaane lagi
ek tawazun jo pahle tha
be-rabt hota gaya
gaDiyon enginon kar-KHanon ki aaludgi se dahakte hue
garm sahra mein
kasrat ki KHwahish kahan le chali
kya hawas hai ki nadan qabu mein aati nahin
dil qana'at ke raste pe rukta nahin
ek lashkar-kashi hai yahan
har taraf phailta ja raha hai dhuan
ab koi dam mein bas
zahr-alud baadal barasne ko hain
is KHarabe mein
har samt ek baad-e-masmum chalne ko hai
dewta apne ma'bad mein mahsur
mabhut hain
aur idhar
ibn-e-adam ka agla qadam
aasman ki 'umudi jihat toD dene ko tayyar hai
dekhna ab ye hai
zindagi apne gumbad se nikli to aaKHir kahan jaegi
is ghubare se bahar
ye rah paegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.