gumbadon ke darmiyan
ḳhvāhisheñ dīvār-e-girya par ḳhushī ke giit haiñ
rāste achchhe dinoñ ke ḳhvāb haiñ
lekin hamesha manziloñ se duur rahte haiñ
lakīreñ dā.eroñ meñ qaid haiñ
chalte raho!
regzāroñ ke safar kā ant paanī hai
sarāboñ ke ta.āqub meñ kabhī niklo
to āñkhoñ ke samundar saath rakhnā
kāñch ḳhāmoshī ke jañgal se kabhī guzro
to āvāzoñ ke patthar saath rakhnā!
gumbadoñ ke darmiyāñ rahte hue
dar saath rakhnā!!
KHwahishen diwar-e-girya par KHushi ke git hain
raste achchhe dinon ke KHwab hain
lekin hamesha manzilon se dur rahte hain
lakiren daeron mein qaid hain
chalte raho!
regzaron ke safar ka ant pani hai
sarabon ke taaqub mein kabhi niklo
to aankhon ke samundar sath rakhna
kanch KHamoshi ke jangal se kabhi guzro
to aawazon ke patthar sath rakhna!
gumbadon ke darmiyan rahte hue
dar sath rakhna!!
- Book : Pani mein gum khawab (Pg. 41)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.