gumnam shahid ka katba
sipah-gar
ai shahīd-e-hurmat-e-arz-e-vatan
terā lahū buniyād meñ hai
aisī nādīda fasīloñ kī
jo har jānib
vatan kī sarhadoñ par
dushmanoñ kī raah meñ haa.il raheñgī
terī marg-e-be-nishāñ se
ho gayā daa.im nishāñ tere vatan kā
tū rahā gumnām
lekin tā-qayāmat naam terī sar-zamīñ kā
yaad rakkhā jā.egā
sipah-gar
ai shahid-e-hurmat-e-arz-e-watan
tera lahu buniyaad mein hai
aisi nadida fasilon ki
jo har jaanib
watan ki sarhadon par
dushmanon ki rah mein hail rahengi
teri marg-e-be-nishan se
ho gaya daim nishan tere watan ka
tu raha gumnam
lekin ta-qayamat nam teri sar-zamin ka
yaad rakkha jaega
- Book : siip (Magzin) (Pg. 169)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.