gumnam sipahi ki qabr par
sipāhī aaj bhī koī nahīñ aayā
kisī ne phuul hī bheje
na bastī ke gharoñ se āshnā gītoñ kī āvāzeñ sunā.ī deñ
na parcham koī lahrāyā
sipāhī! shaam hone aa.ī aur koī nahīñ aayā
fanā kī ḳhandaqoñ ko jaan de kar paar kar jaanā baḌī baat
jahāñ jiine kī ḳhātir mar rahe hoñ log us bastī meñ mar jaanā baḌī baat
magar pal bhar ko ye sochā to hotā
tumhāre ba.ad ghar kī muntazir dahlīz ko jaage hue dil kī nishānī kaun degā
havāoñ se ulajhtī raushnī ko e'tibār-e-kāmrānī kaun degā
dar-o-dīvār se lipTī huī beloñ ko paanī kaun degā
sipahi aaj bhi koi nahin aaya
kisi ne phul hi bheje
na basti ke gharon se aashna giton ki aawazen sunai den
na parcham koi lahraya
sipahi! sham hone aai aur koi nahin aaya
fana ki KHandaqon ko jaan de kar par kar jaana baDi baat
jahan jine ki KHatir mar rahe hon log us basti mein mar jaana baDi baat
magar pal bhar ko ye socha to hota
tumhaare baad ghar ki muntazir dahliz ko jage hue dil ki nishani kaun dega
hawaon se ulajhti raushni ko e'tibar-e-kaamrani kaun dega
dar-o-diwar se lipTi hui belon ko pani kaun dega
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.