gunah
gunāh kyā hai
savāb kyuuñ hai
savāb kī lazzateñ haiñ kaisī
gunah kā bhārī azaab kyā hai
mujhe to ye bhī ḳhabar nahīñ hai
gunāh āḳhir gunāh kyuuñ hai
kahāñ se phūTā hai us kā chashma
kisī pahāḌī se jharnā ban kar girā hai nīche
zamīñ ke dil par
ki jalte hoñToñ kā dukh bujhāne umaD paḌā hai
ḳhud us kī apnī hī chhātiyoñ se
ye reg-zāroñ kī aarzū hai
yā phir samundar kī aabrū hai
jahāñ se bādal javānī chaḌhtā hai
āsmānoñ kī
paanī kyā hai
ye jo pahāḌoñ pe jhūmtā hai
sulagte sūraj ko chūmtā hai
do-chār lamhe pahāḌ siine pe jhuum lenā
sulagte sūraj ko chuum lenā
gunāh kyuuñ hai
savāb kyā hai!
gunah kya hai
sawab kyun hai
sawab ki lazzaten hain kaisi
gunah ka bhaari azab kya hai
mujhe to ye bhi KHabar nahin hai
gunah aaKHir gunah kyun hai
kahan se phuTa hai us ka chashma
kisi pahaDi se jharna ban kar gira hai niche
zamin ke dil par
ki jalte honTon ka dukh bujhane umaD paDa hai
KHud us ki apni hi chhatiyon se
ye reg-zaron ki aarzu hai
ya phir samundar ki aabru hai
jahan se baadal jawani chaDhta hai
aasmanon ki
pani kya hai
ye jo pahaDon pe jhumta hai
sulagte suraj ko chumta hai
do-chaar lamhe pahaD sine pe jhum lena
sulagte suraj ko chum lena
gunah kyun hai
sawab kya hai!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 91)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.