gunah aur mohabbat
gunāh ke tund-o-tez sho.aloñ se ruuh merī bhaḌak rahī thī
havas kī sunsān vādiyoñ meñ mirī javānī bhaTak rahī thī
mirī javānī ke din guzarte the vahshat-ālūd ishratoñ meñ
mirī javānī ke mai-kadoñ meñ gunāh kī mai chhalak rahī thī
mire harīm-e-gunāh meñ ishq devtā kā guzar nahīñ thā
mire fareb-e-vafā ke sahrā meñ hūr-e-ismat bhaTak rahī thī
mujhe ḳhas-e-nā-tavāñ ke mānind zauq-e-isyāñ bahā rahā thā
gunāh kī mauj-e-fitna-sāmāñ uThā uThā kar paTak rahī thī
shabāb ke avvalīñ dinoñ meñ tabāh o afsurda ho chuke the
mire gulistāñ ke phuul jin se fazā-e-tiflī mahak rahī thī
ġharaz javānī meñ ahrman ke tarab kā sāmān ban gayā maiñ
gunah kī ālā.ishoñ meñ luthḌā huā ik insān ban gayā maiñ
mohabbat
aur ab ki terī mohabbat-e-sarmadī kā bāda-gusār huuñ maiñ
havas-parastī kī lazzat-e-be-sabāt se sharmsār huuñ maiñ
mirī bahīmāna ḳhvāhishoñ ne farār kī raah lī hai dil se
aur un ke badle ik ārzu-e-salīm se ham-kanār huuñ maiñ
dalīl-e-rāh-e-vafā banī haiñ ziya-e-ulfat kī paak kirneñ
phir apne firdaus-e-gum-shuda kī talāsh meñ rah-sipār huuñ maiñ
huā huuñ bedār kaañp kar ik muhīb ḳhvāboñ ke silsile se
aur ab numūd-e-sahar kī ḳhātir sitam-kash-e-intizār huuñ maiñ
bahār-e-taqdīs-e-jāvedāñ kī mujhe phir ik baar aarzū hai
phir ek pākīza zindagī ke liye bahut be-qarār huuñ maiñ
mujhe mohabbat ne ma.asiyat ke jahannamoñ se bachā liyā hai
mujhe javānī kī tīra-o-tār pastiyoñ se uThā liyā hai
gunah ke tund-o-tez shoalon se ruh meri bhaDak rahi thi
hawas ki sunsan wadiyon mein meri jawani bhaTak rahi thi
meri jawani ke din guzarte the wahshat-alud ishraton mein
meri jawani ke mai-kadon mein gunah ki mai chhalak rahi thi
mere harim-e-gunah mein ishq dewta ka guzar nahin tha
mere fareb-e-wafa ke sahra mein hur-e-ismat bhaTak rahi thi
mujhe KHas-e-na-tawan ke manind zauq-e-isyan baha raha tha
gunah ki mauj-e-fitna-saman uTha uTha kar paTak rahi thi
shabab ke awwalin dinon mein tabah o afsurda ho chuke the
mere gulistan ke phul jin se faza-e-tifli mahak rahi thi
gharaz jawani mein ahrman ke tarab ka saman ban gaya main
gunah ki aalaishon mein luthDa hua ek insan ban gaya main
mohabbat
aur ab ki teri mohabbat-e-sarmadi ka baada-gusar hun main
hawas-parasti ki lazzat-e-be-sabaat se sharmsar hun main
meri bahimana KHwahishon ne farar ki rah li hai dil se
aur un ke badle ek aarzu-e-salim se ham-kanar hun main
dalil-e-rah-e-wafa bani hain ziya-e-ulfat ki pak kirnen
phir apne firdaus-e-gum-shuda ki talash mein rah-sipar hun main
hua hun bedar kanp kar ek muhib KHwabon ke silsile se
aur ab numud-e-sahar ki KHatir sitam-kash-e-intizar hun main
bahaar-e-taqdis-e-jawedan ki mujhe phir ek bar aarzu hai
phir ek pakiza zindagi ke liye bahut be-qarar hun main
mujhe mohabbat ne masiyat ke jahannamon se bacha liya hai
mujhe jawani ki tira-o-tar pastiyon se uTha liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.