gunah
aaj phir aa hī gayā
aaj phir ruuh pe vo chhā hī gayā
dī mire ghar pe shikast aa ke mujhe!
hosh aayā to maiñ dahlīz pe uftāda thā
ḳhāk-ālūda o afsurdā-o-ġhamgīn-o-nezār
pāra-pāra the mirī ruuh ke taar
aaj vo aa hī gayā
rauzan-e-dar se larazte hue dekhā maiñ ne
ḳhurram-o-shād sar-e-rāh use jaate hue
sālhā-sāl se masdūd thā yārāna merā
apne hī baada se labrez thā paimāna mirā
us ke lauT aane kā imkān na thā
us ke milne kā bhī armān na thā
phir bhī vo aa hī gayā
kaun jaane ke vo shaitān na thā
bebasī mere ḳhudā-vand kī thii!
aaj phir aa hi gaya
aaj phir ruh pe wo chha hi gaya
di mere ghar pe shikast aa ke mujhe!
hosh aaya to main dahliz pe uftada tha
KHak-aluda o afsurda-o-ghamgin-o-nezar
para-para the meri ruh ke tar
aaj wo aa hi gaya
rauzan-e-dar se larazte hue dekha main ne
KHurram-o-shad sar-e-rah use jate hue
salha-sal se masdud tha yarana mera
apne hi baada se labrez tha paimana mera
us ke lauT aane ka imkan na tha
us ke milne ka bhi arman na tha
phir bhi wo aa hi gaya
kaun jaane ke wo shaitan na tha
bebasi mere KHuda-wand ki thi!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.