gurez
ye jā kar koī bazm-e-ḳhūbāñ meñ kah do
ki ab dar-ḳhor-e-bazm-e-ḳhūbāñ nahīñ maiñ
mubārak tumheñ qasr-o-aivāñ tumhāre
vo dil-dāda-e-qasr-o-aivāñ nahīñ maiñ
javānī bhī sarkash mohabbat bhī sarkash
vo zindānī-e-zulf-e-pechāñ nahīñ maiñ
taḌap merī fitrat taḌaptā huuñ lekin
vo zaḳhmī-e-paikān-e-mizhgāñ nahīñ maiñ
dhaḌaktā hai dil ab bhī rātoñ ko lekin
vo nauha-gar-e-dard-e-hijrāñ nahīñ maiñ
ba-īñ tishna-kāmī ba-īñ talḳh-kāmī
rahīn-e-lab-e-shakkar-afshāñ nahīñ maiñ
sharāb o shabistāñ kā maarā huuñ lekin
vo ġharq-e-sharāb-e-shabistāñ nahīñ maiñ
qasam nutq kī sho.ala-afshāniyoñ kī
ki shā.er to huuñ ab ġhazal-ḳhvāñ nahīñ maiñ
ye ja kar koi bazm-e-KHuban mein kah do
ki ab dar-KHor-e-bazm-e-KHuban nahin main
mubarak tumhein qasr-o-aiwan tumhaare
wo dil-dada-e-qasr-o-aiwan nahin main
jawani bhi sarkash mohabbat bhi sarkash
wo zindani-e-zulf-e-pechan nahin main
taDap meri fitrat taDapta hun lekin
wo zaKHmi-e-paikan-e-mizhgan nahin main
dhaDakta hai dil ab bhi raaton ko lekin
wo nauha-gar-e-dard-e-hijran nahin main
ba-in tishna-kaami ba-in talKH-kaami
rahin-e-lab-e-shakkar-afshan nahin main
sharab o shabistan ka mara hun lekin
wo gharq-e-sharab-e-shabistan nahin main
qasam nutq ki shoala-afshaniyon ki
ki shaer to hun ab ghazal-KHwan nahin main
- Book : Aahang (Pg. 137)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.