gurez
mire hāthoñ meñ sūraj kī savārī ke suāgat ke liye
gajre nahīñ hote
saroñ par hukmrāñ mehr-e-daraḳhshāñ
ik qasīda mere lab se sun nahīñ paayā
jab aisā hai
to kyoñ nadiyā meñ girte zard lamhe kī duā chāhūñ
maiñ apnī raat ko kyoñ chāñd kī jholī meñ phailā duuñ
ki raat aatī nazar aatī hai
jaatī kā patā tak bhī nahīñ chaltā
so hairat kyoñ
jo maiñ nai marsiya shab kā nahīñ likhā
mere hathon mein suraj ki sawari ke suagat ke liye
gajre nahin hote
saron par hukmran mehr-e-daraKHshan
ek qasida mere lab se sun nahin paya
jab aisa hai
to kyon nadiya mein girte zard lamhe ki dua chahun
main apni raat ko kyon chand ki jholi mein phaila dun
ki raat aati nazar aati hai
jati ka pata tak bhi nahin chalta
so hairat kyon
jo main nai marsiya shab ka nahin likha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.