guru-nanak
gurū-nānak jise kahte haiñ vo ik mard-e-kāmil thā
ki us ke paas siine meñ taqaddus-āfrīñ dil thā
vo gūñjā naġhma-e-nāhīd ban kar āsmānoñ meñ
liyā jaatā hai naam us kā muqaddas dāstānoñ meñ
haqīqat apnī manvā.ī haqīqat-āshnā ho kar
jo uTThā ibtidā ho kar to baiThā intihā ho kar
sabaq insāniyat kā dene aayā ibn-e-ādam ko
taraqqī kī taraf le jaane vaalā ahl-e-ālam ko
zamīñ bhī us kā lohā maan kar sonā ugaltī thī
ki jis ke dabdabe se charḳh kī chhātī dahaltī thī
vo aayā thā miTāne ke liye tafrīq maz.hab kī
dam-e-āḳhir bhī kī jis ne itā.at ek hī rab kī
vo insāñ jis ke qadmoñ par zamāna sar jhukānā thā
tarīq-e-guftugū se ġhair ko apnā banātā thā
vo rahbar jis ne gumrāhoñ kī aksar peshvā.ī kī
bhalā.ī kī hamesha jis ne bhī us se burā.ī kī
granthī raag sun kar aadmī bedār hotā hai
zamāne kī nazar meñ sāhab-e-kirdār hotā hai
falak bhī tāl-bandī kī zamīñ par naaz kartā hai
ki us kā tā.ir-e-dil arsh par parvāz kartā hai
gurū-nānak kī kam se kam itā.at hai kiye hote
asar ke motiyoñ se dāman-e-dil bhar liye hote
guru-nanak jise kahte hain wo ek mard-e-kaamil tha
ki us ke pas sine mein taqaddus-afrin dil tha
wo gunja naghma-e-nahid ban kar aasmanon mein
liya jata hai nam us ka muqaddas dastanon mein
haqiqat apni manwai haqiqat-ashna ho kar
jo uTTha ibtida ho kar to baiTha intiha ho kar
sabaq insaniyat ka dene aaya ibn-e-adam ko
taraqqi ki taraf le jaane wala ahl-e-alam ko
zamin bhi us ka loha man kar sona ugalti thi
ki jis ke dabdabe se charKH ki chhati dahalti thi
wo aaya tha miTane ke liye tafriq mazhab ki
dam-e-aKHir bhi ki jis ne itaat ek hi rab ki
wo insan jis ke qadmon par zamana sar jhukana tha
tariq-e-guftugu se ghair ko apna banata tha
wo rahbar jis ne gumrahon ki aksar peshwai ki
bhalai ki hamesha jis ne bhi us se burai ki
granthi rag sun kar aadmi bedar hota hai
zamane ki nazar mein sahab-e-kirdar hota hai
falak bhi tal-bandi ki zamin par naz karta hai
ki us ka tair-e-dil arsh par parwaz karta hai
guru-nanak ki kam se kam itaat hai kiye hote
asar ke motiyon se daman-e-dil bhar liye hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.