guru-nanak
haiñ kahte nānak shaah jinheñ vo puure haiñ āgāh gurū
vo kāmil-e-rahbar jag meñ haiñ yuuñ raushan jaise naah gurū
maqsūd murād ummīd sabhī bar laate haiñ dil-ḳhvāh gurū
nit lutf-o-karam se karte haiñ ham logoñ kā nirbāh gurū
is baḳhshish ke is azmat ke haiñ baabā nānak shaah gurū
sab siis navā ardās karo aur har dam bolo vaah gurū
har aan diloñ vich yaañ apne jo dhyān gurū kā dharte haiñ
aur sevak ho kar un ke hī har sūrat beach kahāte haiñ
gird apnī lutf-o-ināyat se sukh chain unheñ dikhlāte haiñ
ḳhush rakhte haiñ har haal unheñ sab man kā kaaj banāte haiñ
is baḳhshish ke is azmat ke haiñ baabā nānak shaah gurū
sab siis navā ardās karo aur har dam bolo vaah gurū
din raat jinhoñ ne yaañ dil vich hai yaad gurū se kaam liyā
sab man ke maqsad bhar paa.e ḳhush-vaqtī kā hañgām liyā
dukh dard meñ apne dhyān lagā jis vaqt gurū kā naam liyā
pal beach gurū ne aan unheñ ḳhush-hāl kiyā aur thaam liyā
is baḳhshish ke is azmat ke haiñ baabā nānak shaah gurū
sab siis navā ardās karo aur har dam bolo vaah gurū
altāf jinhoñ par haiñ un ke so ḳhūbī hāsil hai un ko
har aan 'nazīr' ab yaañ tum bhī to baabā nānak shaah kaho
is baḳhshish ke is azmat ke haiñ baabā nānak shaah gurū
sab siis navā ardās karo aur har dam bolo vaah gurū
hain kahte nanak shah jinhen wo pure hain aagah guru
wo kaamil-e-rahbar jag mein hain yun raushan jaise nah guru
maqsud murad ummid sabhi bar late hain dil-KHwah guru
nit lutf-o-karam se karte hain hum logon ka nirbah guru
is baKHshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru
sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru
har aan dilon wich yan apne jo dhyan guru ka dharte hain
aur sewak ho kar un ke hi har surat beach kahate hain
gird apni lutf-o-inayat se sukh chain unhen dikhlate hain
KHush rakhte hain har haal unhen sab man ka kaj banate hain
is baKHshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru
sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru
din raat jinhon ne yan dil wich hai yaad guru se kaam liya
sab man ke maqsad bhar pae KHush-waqti ka hangam liya
dukh dard mein apne dhyan laga jis waqt guru ka nam liya
pal beach guru ne aan unhen KHush-haal kiya aur tham liya
is baKHshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru
sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru
altaf jinhon par hain un ke so KHubi hasil hai un ko
har aan 'nazir' ab yan tum bhi to baba nanak shah kaho
is baKHshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru
sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.