ghurub
maiñ aksar sochā kartā huuñ
kaash maiñ naT-khaT bālak hotā
aur paTak detā ik pal meñ
ḳhvāhish ke ūñche gumbad se
jīvan kā be-rañg khilaunā
aur kahīñ jā kar so jaatā
log ThiThak jaate pal bhar ko
lambī aaheñ bharte kahte!
kaisā khilaunā! TuuT gayā hai!
kaam meñ phir vo yuuñ kho jaate
jaise andhī shab meñ dhueñ ke
saañp falak kī jānib lapkeñ
main aksar socha karta hun
kash main naT-khaT baalak hota
aur paTak deta ek pal mein
KHwahish ke unche gumbad se
jiwan ka be-rang khilauna
aur kahin ja kar so jata
log ThiThak jate pal bhar ko
lambi aahen bharte kahte!
kaisa khilauna! TuT gaya hai!
kaam mein phir wo yun kho jate
jaise andhi shab mein dhuen ke
sanp falak ki jaanib lapken
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.