gurunanak
ai rahbar-e-manzil tirī raftār ke sadqe
ai mehr-e-munavvar tire anvār ke sadqe
ai band-e-haq-go tirī guftār ke sadqe
ai sāhab-e-īmāñ tire kirdār ke sadqe
to banda-o-sāhab bhī thā muhtāj-o-ġhanī bhī
jalvoñ kā amiiñ bhī tire lab pe arinī bhī
har chehra-e-mardum ke ḳhad-o-ḳhāl bure the
dekho jise us shaḳhs ke a.amāl bure the
mullā ke bhī panDit ke bhī a.amāl bure the
jo jhuuT ne phailā.e the vo jaal bure the
sachchā tirā din aur tirī raat bhī sachchī
sachchā tirā saudā terī har baat bhī sachchī
is dar kā pujārī koī us dar kā pujārī
maġhrib kā pujārī koī ḳhāvar kā pujārī
miinā kā pujārī koī sāġhar kā pujārī
qabroñ kā pujārī koī banjar kā pujārī
kasrat thī yahāñ shirk kī tauhīd nahīñ thī
rozoñ kā bhulāvā thā magar iid nahīñ thī
tū hindū-o-muslim ke gunāhoñ se thā vāqif
maz.hab kī sisaktī huī aahoñ se thā vāqif
to sho.abada-bāzoñ kī nigāhoñ se thā vāqif
to manzil-e-tauhīd kī rāhoñ se thā vāqif
dar haq ke kabhī banda-e-hājī pe khule haiñ
gañgā meñ nahā kar bhī kabhī paap dhule haiñ
tū ne ye kahā sab se baḌā hukm-e-razā.ī
tū ne ye kahā sāñch kī qīmat nahīñ paa.ī
tū ne ye kahā so ke ye sab umr gañvā.ī
tū ne ye kahā jhuuT hai sab zuhd-e-riyā.ī
pur-mānī-o-pur-maġhz haiñ nekī ke ishāre
har haal meñ har rañg meñ rahbar haiñ hamāre
maiñ mast-e-mai-e-ishq huuñ tan rīsh-e-qalandar
tīrath hai agar koī to is man ke hai andar
jā.ūñ maiñ kahāñ sajde ko man merā hai mandir
hai azm mirā fāteh-e-dārā-o-sikandar
gaate haiñ jise devtā bhī chaudah ratan bhī
raqsāñ hai usī dar pe merī jaan bhī tan bhī
jo dars diyā tū ne vo azmat kā amiiñ hai
vo prem kī aḳhlāq kī ḳhātam kā nagīñ hai
kundan jo na ho jaa.e vo sonā hī nahīñ hai
haq-go hai jo duniyā hī meñ jannat kā makīñ hai
sar jhukte haiñ sab ke tirī sarkār meñ aa kar
ham sajda-kunāñ haiñ tire darbār meñ aa kar
ai rahbar-e-manzil teri raftar ke sadqe
ai mehr-e-munawwar tere anwar ke sadqe
ai band-e-haq-go teri guftar ke sadqe
ai sahab-e-iman tere kirdar ke sadqe
to banda-o-sahab bhi tha muhtaj-o-ghani bhi
jalwon ka amin bhi tere lab pe arini bhi
har chehra-e-mardum ke KHad-o-KHal bure the
dekho jise us shaKHs ke aamal bure the
mulla ke bhi panDit ke bhi aamal bure the
jo jhuT ne phailae the wo jal bure the
sachcha tera din aur teri raat bhi sachchi
sachcha tera sauda teri har baat bhi sachchi
is dar ka pujari koi us dar ka pujari
maghrib ka pujari koi KHawar ka pujari
mina ka pujari koi saghar ka pujari
qabron ka pujari koi banjar ka pujari
kasrat thi yahan shirk ki tauhid nahin thi
rozon ka bhulawa tha magar id nahin thi
tu hindu-o-muslim ke gunahon se tha waqif
mazhab ki sisakti hui aahon se tha waqif
to shoabada-bazon ki nigahon se tha waqif
to manzil-e-tauhid ki rahon se tha waqif
dar haq ke kabhi banda-e-haji pe khule hain
ganga mein naha kar bhi kabhi pap dhule hain
tu ne ye kaha sab se baDa hukm-e-razai
tu ne ye kaha sanch ki qimat nahin pai
tu ne ye kaha so ke ye sab umr ganwai
tu ne ye kaha jhuT hai sab zuhd-e-riyai
pur-mani-o-pur-maghz hain neki ke ishaare
har haal mein har rang mein rahbar hain hamare
main mast-e-mai-e-ishq hun tan rish-e-qalandar
tirath hai agar koi to is man ke hai andar
jaun main kahan sajde ko man mera hai mandir
hai azm mera fateh-e-dara-o-sikandar
gate hain jise dewta bhi chaudah ratan bhi
raqsan hai usi dar pe meri jaan bhi tan bhi
jo dars diya tu ne wo azmat ka amin hai
wo prem ki aKHlaq ki KHatam ka nagin hai
kundan jo na ho jae wo sona hi nahin hai
haq-go hai jo duniya hi mein jannat ka makin hai
sar jhukte hain sab ke teri sarkar mein aa kar
hum sajda-kunan hain tere darbar mein aa kar
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 371)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.