ghurur ki haar
ik phuul kī kahānī bachcho sunā.ūñ tum ko
ye baat kaam kī hai aao batā.ūñ tum ko
ik phuul thā chaman meñ ma.asūm pyārā pyārā
har phuul se chaman ke thā rañg us kā nyārā
har phuul dil se us kī tāzīm kar rahā thā
aur us kī bartarī ko taslīm kar rahā thā
kartā thā pyaar har dam saarā hī baaġh us ko
hāsil thā sab ġhamoñ se ya.anī farāġh us ko
apne ko pā ke tanhā ik din ye us ne sochā
kartā hai merī izzat har phuul hī chaman kā
ya.anī maiñ is chaman meñ huuñ sab se ḳhūbsūrat
shāyad isī liye sab karte haiñ merī izzat
ye baat us ne sochī maġhrūr ho gayā vo
nekī ke rāste se phir duur ho gayā vo
andāz jab chaman ke phūloñ ne us kā dekhā
ye faisla kiyā ham hoñge na us pe shaidā
phir yuuñ huā ki rūThī us se chaman kī bastī
mālūm ho ga.ī phir us gul ko apnī hastī
al-qissa us ne bachcho apnā ġhurūr toḌā
ulfat gale lagā.ī nafrat ko duur chhoḌā
vo phuul ho gayā phir saare chaman ko pyārā
aur ban gayā chaman meñ āñkhoñ kī sab ke taarā
ek phul ki kahani bachcho sunaun tum ko
ye baat kaam ki hai aao bataun tum ko
ek phul tha chaman mein masum pyara pyara
har phul se chaman ke tha rang us ka nyara
har phul dil se us ki tazim kar raha tha
aur us ki bartari ko taslim kar raha tha
karta tha pyar har dam sara hi bagh us ko
hasil tha sab ghamon se yani faragh us ko
apne ko pa ke tanha ek din ye us ne socha
karta hai meri izzat har phul hi chaman ka
yani main is chaman mein hun sab se KHubsurat
shayad isi liye sab karte hain meri izzat
ye baat us ne sochi maghrur ho gaya wo
neki ke raste se phir dur ho gaya wo
andaz jab chaman ke phulon ne us ka dekha
ye faisla kiya hum honge na us pe shaida
phir yun hua ki ruThi us se chaman ki basti
malum ho gai phir us gul ko apni hasti
al-qissa us ne bachcho apna ghurur toDa
ulfat gale lagai nafrat ko dur chhoDa
wo phul ho gaya phir sare chaman ko pyara
aur ban gaya chaman mein aankhon ki sab ke tara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.