gungi iltija
rabb-ul-izzat
vo zamīn jise tū ne banī aadam ke liye jannat banāyā thā
aur amn ke gahvāre kā naam diyā thā
jahāñ hamārī āzmā.ish ke liye shajar-e-mamnūa ke saath saath
hamārī rubūbiyat ke liye tū ne shajar-e-hayāt bhī ugāyā thā
hamārī vo zamīn paanī havā aur ḳhushkī kī maḳhlūq kā mushtarka ghar thī
is pyārī zamīn par ābād saarī maḳhlūq ek dūsre se raazī thī
aur jis kī saarī maḳhlūq ko bāham raazī dekh kar tū bhī ham se raazī thā
ai rabb-ul-izzat ham ne vo zamīn apne hāthoñ barbād kar ke rakh dī hai
hamārā tujh par koī haq nahīñ ki zid kareñ
lekin tū ne tauba kā darvāza to khulā rakkhā hai
be-shak tauba kī ibtidā e'tirāf se hotī hai
magar is kī intihā hamesha duā se hotī aa.ī hai
mere paas duā ke laa.eq alfāz nahīñ haiñ
lekin tere paas merī gūñgī iltijā sunñe ke liye bahut achchhe kaan haiñ
husn-e-samā.at tujh par ḳhatm hai
is liye ki tū azal se muztaroñ kī suntā aur murda zamīnoñ ko zinda kartā aayā hai
sun ai samī.a sun
ek martaba phir is zamīn par amn ummīd aur masarrat ke pharere lahrā de
ek martaba phir is ke beTe beTiyoñ kā haath pakaḌ
unheñ adhūre-pan se najāt de de
puurā kar de unheñ
vo havas aur be-sabrī kī khaultī daldal meñ
bad-sūrat meñDakoñ kī tarah auñdhe muñh paḌe haiñ
unheñ puure qad se khaḌā kar de
un kī azmat-e-ādam lauTā de
unheñ ek dūsre par e'timād karnā sikhā de
taufīq de unheñ ki terī atā karda quvvat-e-taḳhlīq se
zamīn ko husn aur ma.anī se mālā-māl kar deñ
ehtirām Daal de in ke dil-o-dimāġh meñ is zamīn ke liye
apnī us maañ ke liye
us kī saarī maḳhlūq ke liye
nasl aqīde jins aur saqāfat kā farq in kī vahdat meñ na.e rañg bhare
vo puure kurra-e-arz par phaile hoñ lekin ek dūsre kā haath pakaḌ kar
vo puure kurra-e-arz ko ek aise dastarḳhvāñ kī shakl de deñ
jis par zamīn kā saarā rizq zamīn kī saarī maḳhlūq ke liye aam ho
chhe arab insān hī nahīñ zamīn kī saarī maḳhlūq sairāb-o-shād-kām ho
ai rabb-ul-izzat
tū ne is zamīn kī sūrat meñ jo jannat hameñ dī thī
ham ne use apne liye jahannam banā liyā hai
ye jahannam sirf nifāq aur nafrat hī nahīñ ḳhauf se bhī labrez hai
ek dūsre se ḳhauf apne aap se ḳhauf
aur ḳhauf to mohabbat kī nafī hotā hai
aur saarī mohabbatoñ kī ibtidā aur intihā
hameñ ek martaba phir mohabbat se sarshār kar de
ki mohabbat ke baġhair hameñ na to sachchā amn nasīb hogā aur na sachchī zindagī
ham mohabbat se mahrūm rahe to ḳhvāh to zamīn ko sau martaba bhī jannat banā de
ham hazār martaba use jahannam banā ke rakh deñge
ham ne nafrat nifāq aur ḳhauf ko aazmā kar dekh liyā hai
ai rabb-ul-izzat
hamāre vajūd mohabbat ke liye is tarah taras rahe haiñ
jaise pyāsī zamīn bārish ke liye tarastī hai
hameñ mohabbat nasīb kar de
rabb-ul-izzat
wo zamin jise tu ne bani aadam ke liye jannat banaya tha
aur amn ke gahware ka nam diya tha
jahan hamari aazmaish ke liye shajar-e-mamnua ke sath sath
hamari rububiyat ke liye tu ne shajar-e-hayat bhi ugaya tha
hamari wo zamin pani hawa aur KHushki ki maKHluq ka mushtarka ghar thi
is pyari zamin par aabaad sari maKHluq ek dusre se raazi thi
aur jis ki sari maKHluq ko baham raazi dekh kar tu bhi hum se raazi tha
ai rabb-ul-izzat hum ne wo zamin apne hathon barbaad kar ke rakh di hai
hamara tujh par koi haq nahin ki zid karen
lekin tu ne tauba ka darwaza to khula rakkha hai
be-shak tauba ki ibtida e'tiraf se hoti hai
magar is ki intiha hamesha dua se hoti aai hai
mere pas dua ke laeq alfaz nahin hain
lekin tere pas meri gungi iltija sunne ke liye bahut achchhe kan hain
husn-e-samaat tujh par KHatm hai
is liye ki tu azal se muztaron ki sunta aur murda zaminon ko zinda karta aaya hai
sun ai samia sun
ek martaba phir is zamin par amn ummid aur masarrat ke pharere lahra de
ek martaba phir is ke beTe beTiyon ka hath pakaD
unhen adhure-pan se najat de de
pura kar de unhen
wo hawas aur be-sabri ki khaulti daldal mein
bad-surat meinDakon ki tarah aundhe munh paDe hain
unhen pure qad se khaDa kar de
un ki azmat-e-adam lauTa de
unhen ek dusre par e'timad karna sikha de
taufiq de unhen ki teri ata karda quwwat-e-taKHliq se
zamin ko husn aur mani se mala-mal kar den
ehtiram Dal de in ke dil-o-dimagh mein is zamin ke liye
apni us man ke liye
us ki sari maKHluq ke liye
nasl aqide jins aur saqafat ka farq in ki wahdat mein nae rang bhare
wo pure kurra-e-arz par phaile hon lekin ek dusre ka hath pakaD kar
wo pure kurra-e-arz ko ek aise dastarKHwan ki shakl de den
jis par zamin ka sara rizq zamin ki sari maKHluq ke liye aam ho
chhe arab insan hi nahin zamin ki sari maKHluq sairab-o-shad-kaam ho
ai rabb-ul-izzat
tu ne is zamin ki surat mein jo jannat hamein di thi
hum ne use apne liye jahannam bana liya hai
ye jahannam sirf nifaq aur nafrat hi nahin KHauf se bhi labrez hai
ek dusre se KHauf apne aap se KHauf
aur KHauf to mohabbat ki nafi hota hai
aur sari mohabbaton ki ibtida aur intiha
hamein ek martaba phir mohabbat se sarshaar kar de
ki mohabbat ke baghair hamein na to sachcha amn nasib hoga aur na sachchi zindagi
hum mohabbat se mahrum rahe to KHwah to zamin ko sau martaba bhi jannat bana de
hum hazar martaba use jahannam bana ke rakh denge
hum ne nafrat nifaq aur KHauf ko aazma kar dekh liya hai
ai rabb-ul-izzat
hamare wajud mohabbat ke liye is tarah taras rahe hain
jaise pyasi zamin barish ke liye tarasti hai
hamein mohabbat nasib kar de
- Book : din kaa phool (Pg. 18)
- Author : haniif raame
- Publication : Sang-e-meel publications (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.