guzargah par tamasha
khulī saḌak vīrān paḌī thī
bahut ajab thī shaam
ūñchā qad aur chaal nirālī
nazreñ ḳhūñ-āshām
saare badan par machā huā thā
rañgoñ kā kohrām
laal hoñT yuuñ dahak rahe the
jaise lahū kā jaam
aisā husn thā us laḌkī meñ
ThiThak ga.e sab log
kaise ḳhush ḳhush chale the ghar ko
lag gayā kaisā rog
khuli saDak viran paDi thi
bahut ajab thi sham
uncha qad aur chaal nirali
nazren KHun-asham
sare badan par macha hua tha
rangon ka kohram
lal honT yun dahak rahe the
jaise lahu ka jam
aisa husn tha us laDki mein
ThiThak gae sab log
kaise KHush KHush chale the ghar ko
lag gaya kaisa rog
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 284)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.