gyan ki chita
ehsās ke sāhil pe bahut der se gum-sum
maiñ gyaan kī arthī ko liye baiThā huuñ yaaro
tai kar ke ye aayā thā ki phūñkūñgā use aaj
aur ab bhī yahī azm kiye baiThā huuñ yaaro
lekin koī tadbīr samajh hī nahīñ aatī
kis chiiz pe rakh kar maiñ bhalā us ko jalā.ūñ
kahtī haiñ tamannā.eñ ki chhoḌeñgī na dil ko
phir us ke liye dil kī chitā kaise banā.ūñ
ehsas ke sahil pe bahut der se gum-sum
main gyan ki arthi ko liye baiTha hun yaro
tai kar ke ye aaya tha ki phunkunga use aaj
aur ab bhi yahi azm kiye baiTha hun yaro
lekin koi tadbir samajh hi nahin aati
kis chiz pe rakh kar main bhala us ko jalaun
kahti hain tamannaen ki chhoDengi na dil ko
phir us ke liye dil ki chita kaise banaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.