gyan-marg
ziyā-e-rāz ko ākāsh meñ talāsh na kar
ki ye hai ruuh kī gahrā.iyoñ meñ raḳhshanda
hamārī ruuh meñ ākāsh hai jo tābinda
vishāl jhiil hai nirmal hai jis kā chanchal jal
khile hue haiñ haqīqat ke jis meñ nīl-kamal
dil-e-vajūd kā dark-e-darūñ hai rāh-e-najāt
kamāl-e-ishq hai bezār rang-e-zāhir se
majāz-o-sāz niyāz-o-gudāz kyā jaane
rusūm-e-sat.h se rāz-e-baqā nahīñ khultā
qamīs dhone se insāñ kā dil nahīñ dhultā
ziya-e-raaz ko aakash mein talash na kar
ki ye hai ruh ki gahraiyon mein raKHshanda
hamari ruh mein aakash hai jo tabinda
wishaal jhil hai nirmal hai jis ka chanchal jal
khile hue hain haqiqat ke jis mein nil-kamal
dil-e-wajud ka dark-e-darun hai rah-e-najat
kamal-e-ishq hai bezar rang-e-zahir se
majaz-o-saz niyaz-o-gudaz kya jaane
rusum-e-sath se raaz-e-baqa nahin khulta
qamis dhone se insan ka dil nahin dhulta
- Book : Gyan Marg ky Nazme.n (Pg. 18)
- Author : KRISHN MOHAN
- Publication : National Acadami, Ansari Market, Daryaganj (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.