habil chup hai
kab talak gehūñ kakḌī
pyaaz aur masūr hī khāte raheñ
apne ajdād ke
sab gunāhoñ kā bojh
ab uThāte raheñ
ham jo qābīl qātil kī
aulād haiñ
jis tarah ke bhī haiñ
kis kī ījād haiñ
ham ne chakkhā nahīñ
koī jannat kā phal
ham ne dekhā nahīñ
apne ajdād kā koī aaj aur na kal
kyoñ utaar ga.ī
ham pe aisī hī bhuuk aur pyaas
anginat ham ne ashjār bhī haiñ ugaa.e hue
phir bhī ajdād par jo utārī ga.ī dhuup
ham bhī isī meñ jalā.e ga.e
jism kā to hamārā bhī saaya
aur ajdād kā bhī
rahā hai hamesha hī mahv-e-sujūd
phir bhī ham par aur un par
lagā.ī ga.ī haiñ ye kaisī quyūd
kis kī qurbānī ko sharaf baḳhshā gayā
aur virāsat kā haqdār Thahrā hai kaun
ham hī qābīl kī kul kamā.ī haiñ kyoñ
ik tamāshā haiñ
to phir tamāshā.ī kyoñ
vo to ajdād the
jo utāre ga.e the falak se
magar tā-qayāmat
zamīñ par hamārī ye rusvā.ī kyoñ
kab talak gehun kakDi
pyaz aur masur hi khate rahen
apne ajdad ke
sab gunahon ka bojh
ab uThate rahen
hum jo qabil qatil ki
aulad hain
jis tarah ke bhi hain
kis ki ijad hain
hum ne chakkha nahin
koi jannat ka phal
hum ne dekha nahin
apne ajdad ka koi aaj aur na kal
kyon utar gai
hum pe aisi hi bhuk aur pyas
anginat hum ne ashjar bhi hain ugae hue
phir bhi ajdad par jo utari gai dhup
hum bhi isi mein jalae gae
jism ka to hamara bhi saya
aur ajdad ka bhi
raha hai hamesha hi mahw-e-sujud
phir bhi hum par aur un par
lagai gai hain ye kaisi quyud
kis ki qurbani ko sharaf baKHsha gaya
aur wirasat ka haqdar Thahra hai kaun
hum hi qabil ki kul kamai hain kyon
ek tamasha hain
to phir tamashai kyon
wo to ajdad the
jo utare gae the falak se
magar ta-qayamat
zamin par hamari ye ruswai kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.