hadisa
salīb se jo Tapaktā hai be-gunāh lahū
vo buuñd buuñd kā apnī
hisāb letā hai
zamīn-e-jabr kī afvāj-e-fīl vāqif haiñ
fazā meñ aise parindoñ kā
ek ġhol bhī hai
jo kañkarī se chaTānoñ ko toḌ detā hai
jab apnī had se guzarte haiñ
abrahī sailāb
ye sang-rezo se
ruḳh un ke moḌ detā hai
so jab ye sāzishī sayyād tā.eroñ ke liye
fazā meñ har taraf ik jaal taan baiThe hoñ
to hādsāt
koī ehtimām karte haiñ
kahīñ se maut ke kankar
uchhāltā hai koī
usī ke daam use
zer-e-dām karte haiñ
bas aur kuchh nahīñ
in hādsāt kī tafsīl
ye hādsāt
to hujjat tamām karte haiñ
salib se jo Tapakta hai be-gunah lahu
wo bund bund ka apni
hisab leta hai
zamin-e-jabr ki afwaj-e-fil waqif hain
faza mein aise parindon ka
ek ghol bhi hai
jo kankari se chaTanon ko toD deta hai
jab apni had se guzarte hain
abrahi sailab
ye sang-rezo se
ruKH un ke moD deta hai
so jab ye sazishi sayyaad taeron ke liye
faza mein har taraf ek jal tan baiThe hon
to hadsat
koi ehtimam karte hain
kahin se maut ke kankar
uchhaalta hai koi
usi ke dam use
zer-e-dam karte hain
bas aur kuchh nahin
in hadsat ki tafsil
ye hadsat
to hujjat tamam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.