hadsa
nazm mar ga.ī us din
jab maiñ ne biis ruupe bachāne ke liye
motor gaaḌī ko rikshe pe fauqiyat dī
ab maiñ likhne baiThtī huuñ
to kambaḳht rikshe vaale kī
bebas āñkheñ
kāġhaz meñ se jhāñktī haiñ
maiñ diary pheñk detī huuñ
nazm mar gai us din
jab main ne bis rupe bachane ke liye
motor gaDi ko rikshe pe fauqiyat di
ab main likhne baiThti hun
to kambaKHt rikshe wale ki
bebas aankhen
kaghaz mein se jhankti hain
main diary phenk deti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.