hae bapu teri duhai hai
ḳhū-e-āzād jis ne paa.ī hai
us ke qabze meñ kul ḳhudā.ī hai
un se maiñ bhī ye baat kahtā huuñ
jin kī taqdīr meñ burā.ī hai
apne maazī pe Daal lo nazreñ
kis qadar kis ne kī bhalā.ī hai
baat aa.ī zabāñ pe kahtā huuñ
ye to bandoñ hī kī ḳhudā.ī hai
rok kar galā kar rahe haiñ black
qaht kī har taraf dahā.ī hai
kitne Theke meñ ab kī baar bache
kitnī rishvat kī daulat aa.ī hai
apne apnoñ ko pūchhtā hai har ik
ahl-e-tāqat hī kī ban aa.ī hai
gar minister hai aap kā saalā
to collector banā jamā.ī hai
hai jo enginēr sifārish se
phir to Theke meñ is kā bhaa.ī hai
ḳhauf hai kis kā raaj hai apnā
apnā hī saarā āna-pā.ī hai
rozī aur rozgār haiñ un ke
ham ġharīboñ kā haq gadā.ī hai
in kā zarīya hai ye kamāne kā
dekhne hī kī pārsā.ī hai
kis se jā kar 'kañval' kare fariyād
haa.e baapū tirī duhā.ī hai
aaj phir se august aayā hai
sab ke ghar meñ ḳhushī hī chhā.ī hai
sāl-e-ā.inda ke kamāne ko
tum ne scheme kyā banā.ī hai
KHu-e-azad jis ne pai hai
us ke qabze mein kul KHudai hai
un se main bhi ye baat kahta hun
jin ki taqdir mein burai hai
apne mazi pe Dal lo nazren
kis qadar kis ne ki bhalai hai
baat aai zaban pe kahta hun
ye to bandon hi ki KHudai hai
rok kar gala kar rahe hain black
qaht ki har taraf dahai hai
kitne Theke mein ab ki bar bache
kitni rishwat ki daulat aai hai
apne apnon ko puchhta hai har ek
ahl-e-taqat hi ki ban aai hai
gar minister hai aap ka sala
to collector bana jamai hai
hai jo engineer sifarish se
phir to Theke mein is ka bhai hai
KHauf hai kis ka raj hai apna
apna hi sara aana-pai hai
rozi aur rozgar hain un ke
hum gharibon ka haq gadai hai
in ka zariya hai ye kamane ka
dekhne hi ki parsai hai
kis se ja kar 'kanwal' kare fariyaad
hae bapu teri duhai hai
aaj phir se august aaya hai
sab ke ghar mein KHushi hi chhai hai
sal-e-ainda ke kamane ko
tum ne scheme kya banai hai
- Book : Mizraab (Kulliyat) (Pg. 251)
- Author : Prof. Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya, Delhi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.