hae jawani
aah kise dukh dard batā.ūñ
kis ko apnā haal sunā.ūñ
dil se hotī raah hai dil ko
ghāyal kī ho ḳhabar ghāyal ko
kaun hai merī sunñe vaalā
kaun hai ab sar dhunñe vaalā
kaun afsos kare ab mujh par
kaun ho mujh ko dekh ke muztar
is sin meñ ye dard-e-nihānī
haa.e javānī haa.e javānī
aah umīdeñ ḳhaak huiiñ sab
jiinā ab ik qahr hai yārab
duniyā se allāh uThā le
mujh ko us ke paas bulā le
aah kise dukh dard bataun
kis ko apna haal sunaun
dil se hoti rah hai dil ko
ghayal ki ho KHabar ghayal ko
kaun hai meri sunne wala
kaun hai ab sar dhunne wala
kaun afsos kare ab mujh par
kaun ho mujh ko dekh ke muztar
is sin mein ye dard-e-nihani
hae jawani hae jawani
aah umiden KHak huin sab
jina ab ek qahr hai yarab
duniya se allah uTha le
mujh ko us ke pas bula le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.