hae shiddat ki kami
maiñ jahāñ paidā huā
parvarish paayā baḌhā
aur jis jā aaj huuñ
un sabhī jag.hoñ kā mausam
mo'tadil fayyāz muḳhlis mehrbāñ
jo tapāne yā jamāne ke amal se nā-balad
ḳhaak ke zarroñ ko bhobhal bante maiñ ne
aaj tak dekhā nahīñ
aur dariyāoñ ko rāh-e-barf meñ tabdīl hote bhī na dekhā
tajrabe miTTī ke loñde gol chikne aur sapāT
nok hai un meñ na dhaar
aur na chubhne kī sakat
ek aadat ik rivāyat ik rivāj
kyā mire bāhar kā mausam aur kyā merā mizāj!
main jahan paida hua
parwarish paya baDha
aur jis ja aaj hun
un sabhi jaghon ka mausam
mo'tadil fayyaz muKHlis mehrban
jo tapane ya jamane ke amal se na-balad
KHak ke zarron ko bhobhal bante main ne
aaj tak dekha nahin
aur dariyaon ko rah-e-barf mein tabdil hote bhi na dekha
tajrabe miTTi ke londe gol chikne aur sapaT
nok hai un mein na dhaar
aur na chubhne ki sakat
ek aadat ek riwayat ek riwaj
kya mere bahar ka mausam aur kya mera mizaj!
- Book : Inkaar (Pg. 131)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.