dil zinda-o-be-dār agar ho to ba-tadrīj
bande ko 'atā karte haiñ chashm-e-nigarāñ aur
ahvāl-o-maqāmāt pe mauqūf hai sab kuchh
har lahza hai sālik kā zamāñ aur makāñ aur
alfāz-o-ma'ānī meñ tafāvut nahīñ lekin
mullā kī azaañ aur mujāhid kī azaañ aur
parvāz hai donoñ kī isī ek fazā meñ
kargas kā jahāñ aur hai shāhīñ kā jahāñ aur
dil zinda-o-be-dar agar ho to ba-tadrij
bande ko 'ata karte hain chashm-e-nigaran aur
ahwal-o-maqamat pe mauquf hai sab kuchh
har lahza hai salik ka zaman aur makan aur
alfaz-o-ma'ani mein tafawut nahin lekin
mulla ki azan aur mujahid ki azan aur
parwaz hai donon ki isi ek faza mein
kargas ka jahan aur hai shahin ka jahan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.