haar jit
maiñ ne race meñ ek ghoḌe par hazār ruupe lagā.e
aur haar gayā
maiñ ne apne beTe ko vo sab kuchh diyaa... jo de saktā thā
saarī āsā.isheñ tark kar ke
lekin bhuul gayā
use apnī zindagī jiinā hai
manzar badalte rahe
phir vo aa ga.ī
aur bhī log aa.e
lekin har shaḳhs ke saath us ke apne saa.e the
aur jab saare saa.e ruḳhsat hue
to maiñ ne musallā bichhāyā
yā allāh
ye merī āḳhirī bāzī..!
main ne race mein ek ghoDe par hazar rupe lagae
aur haar gaya
main ne apne beTe ko wo sab kuchh diya jo de sakta tha
sari aasaishen tark kar ke
lekin bhul gaya
use apni zindagi jina hai
manzar badalte rahe
phir wo aa gai
aur bhi log aae
lekin har shaKHs ke sath us ke apne sae the
aur jab sare sae ruKHsat hue
to main ne musalla bichhaya
ya allah
ye meri aaKHiri bazi!
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.