haar jit
merī ban jaane pe āmāda hai vo jān-e-hayāt
jo kisī aur se paimān-e-vafā rakhtī hai
mere āġhosh meñ aane ke liye raazī hai
jo kisī aur ko siine meñ chhupā rakhtī hai
shā.erī hī nahīñ kuchh bā.is-e-izzat mujh ko
aur bahut kuchh hasad o rashk ke asbāb meñ hai
mujh ko hāsil hai vo me.ār-e-shab-o-roz ki jo
us ke mahbūb ke hātoñ meñ nahīñ ḳhvāb meñ hai
kaun jītegā ye baazī mujhe ma.alūm nahīñ
zindagī meñ mujhe kyā aur use kyā mil jaa.e
kaash vo zīnat-e-āġhosh kisī kī ban jaa.e
aur mujhe garmī-e-paimān-e-vafā mil jaa.e
meri ban jaane pe aamada hai wo jaan-e-hayat
jo kisi aur se paiman-e-wafa rakhti hai
mere aaghosh mein aane ke liye raazi hai
jo kisi aur ko sine mein chhupa rakhti hai
shaeri hi nahin kuchh bais-e-izzat mujh ko
aur bahut kuchh hasad o rashk ke asbab mein hai
mujh ko hasil hai wo mear-e-shab-o-roz ki jo
us ke mahbub ke haton mein nahin KHwab mein hai
kaun jitega ye bazi mujhe malum nahin
zindagi mein mujhe kya aur use kya mil jae
kash wo zinat-e-aghosh kisi ki ban jae
aur mujhe garmi-e-paiman-e-wafa mil jae
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Roshni) (Pg. 116)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.